SHAWORDS

aalaam-e-rozgaar se mar'ub ho gae — Ahmar Nadeem

HomeAhmar NadeemGhazal
"aalaam-e-rozgaar se mar'ub ho gae saare usuul 'ishq ke maa’yub ho gae shaayad main apne aap se ghaafil na rah sakaa kuchh log meri zaat se mansub ho gae pahle-pahal to ham pe tiraa kuchh asar huaa phir dekhte hi dekhte maghlub ho gae pohnchaa na kuchh hamaaraa kahaa un ke zauq tak samjhe the ham ki saahib-e-uslub ho gae shohrat ki saadgi ne bhi kyaa kyaa na kuchh kiyaa kitne hi badtarin the jo khuub ho gae teraa firaaq baa'is-e-kaif-o-nashaat thaa duniyaa tire visaal mein majzub ho gae 'ahmar' kaa kyaa banaa koi puchhe to ye kaho nazr-e-sitam-zarifi-e-mahbub ho gae"
Urdu

آلام روزگار سے مرعوب ہو گئے سارے اصول عشق کے معیوب ہو گئے شاید میں اپنے آپ سے غافل نہ رہ سکا کچھ لوگ میری ذات سے منسوب ہو گئے پہلے پہل تو ہم پہ ترا کچھ اثر ہوا پھر دیکھتے ہی دیکھتے مغلوب ہو گئے پہنچا نہ کچھ ہمارا کہا ان کے ذوق تک سمجھے تھے ہم کہ صاحب اسلوب ہو گئے شہرت کی سادگی نے بھی کیا کیا نہ کچھ کیا کتنے ہی بدترین تھے جو خوب ہو گئے تیرا فراق باعث کیف و نشاط تھا دنیا ترے وصال میں مجذوب ہو گئے احمرؔ کا کیا بنا کوئی پوچھے تو یہ کہو نذر ستم ظریفیٔ محبوب ہو گئے

Hindi

आलाम-ए-रोज़गार से मर'ऊब हो गए सारे उसूल 'इश्क़ के मा'यूब हो गए शायद मैं अपने आप से ग़ाफ़िल न रह सका कुछ लोग मेरी ज़ात से मंसूब हो गए पहले-पहल तो हम पे तिरा कुछ असर हुआ फिर देखते ही देखते मग़्लूब हो गए पहुँचा न कुछ हमारा कहा उन के ज़ौक़ तक समझे थे हम कि साहिब-ए-उसलूब हो गए शोहरत की सादगी ने भी क्या क्या न कुछ किया कितने ही बदतरीन थे जो ख़ूब हो गए तेरा फ़िराक़ बा'इस-ए-कैफ़-ओ-नशात था दुनिया तिरे विसाल में मज्ज़ूब हो गए 'अहमर' का क्या बना कोई पूछे तो ये कहो नज़्र-ए-सितम-ज़रीफ़ी-ए-महबूब हो गए

ālām-e-rozgār se mar'ūb ho ga.e
Ahmar Nadeem
Ahmar Nadeem
Ahmar Nadeem
poet37 quotes

More by Ahmar Nadeem

View all →
Quote
"ye ek kaam bachaa thaa so vo bhi karne lage nafas nafas mein udaasi ke jaam bharne lage abhi to in ko murattab hi kar rahe the ham khayaal safha-e-qirtaas par bikharne lage sitam-zarifi-e-dauraan bhi raas aane lagi ye kis ki zulf ke saae mein ham sanvarne lage udaas naslon ko darkaar hai ik aur safar rukh-e-sahar pe shabon ke nuqush ubharne lage musaafiraan-e-taghayyur hain kaise saada mizaaj hayaat-e-nau ki bashaarat pe kaan dharne lage bas itnaa qissa hai aankhon mein khvaab aane kaa uThe sanbhal ke chale aur phir Thaharne lage"
Ahmar NadeemAhmar Nadeem

More on Maa

View all →
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri