Quote
"kareinge ahl-e-nazar taaza bastiyaan aabaad miri nigaah nahin su-e-kufa-o-baghdaad ye madrasa ye javaan ye surur o raanaai inhin ke dam se hai mai-khaana-e-farang aabaad na falsafi se na mullaa se hai gharaz mujh ko ye dil ki maut vo andesha o nazar kaa fasaad faqih-e-shahr ki tahqir kyaa majaal miri magar ye baat ki main DhunDtaa huun dil ki kushaad kharid sakte hain duniyaa mein ishrat-e-parvez khudaa ki den hai sarmaaya-e-gham-e-farhaad kiye hain faash rumuz-e-qalandari main ne ki fikr-e-madrasa-o-khaanqaah ho aazaad rishi ke faaqon se TuuTaa na barhaman kaa tilism asaa na ho to kalimi hai kaar-e-be-buniyaad"
