SHAWORDS

betaab se betaab tiri taab le aae — Aamir Azher

HomeAamir AzherGhazal
"betaab se betaab tiri taab le aae jiinaa paDaa aison ko bhi jo ji nahin paae baatein vahi baatein vo na boli hui baatein is tezi se lagti hain ki allaah bachaae dikhti rahi phaili hui gardun ki siyaahi kitne hi sitaare miri aankhon ne ginaae taa'rif bhi aisi hamein karni nahin aai alfaaz bhi aise muta'addid hi banaae yak-lakht unDele gae ham hosh mein har baar jaate hue khvaabon ko kabhi dekh na paae jaanoge to jaanam tumhein jaane nahin deinge behtar hai in auhaam ko jaane diyaa jaae aavaaz se paivasta ik andaaz hai 'aamir' andaaz kaa andaaza magar kaun lagaae"
Urdu

بیتاب سے بیتاب تری تاب لے آئے جینا پڑا ایسوں کو بھی جو جی نہیں پائے باتیں وہی باتیں وہ نہ بولی ہوئی باتیں اس تیزی سے لگتی ہیں کہ اللہ بچائے دکھتی رہی پھیلی ہوئی گردوں کی سیاہی کتنے ہی ستارے مری آنکھوں نے گنائے تعریف بھی ایسی ہمیں کرنی نہیں آئی الفاظ بھی ایسے متعدد ہی بنائے یک لخت انڈیلے گئے ہم ہوش میں ہر بار جاتے ہوئے خوابوں کو کبھی دیکھ نہ پائے جانو گے تو جانم تمہیں جانے نہیں دیں گے بہتر ہے ان اوہام کو جانے دیا جائے آواز سے پیوستہ اک انداز ہے عامرؔ انداز کا اندازہ مگر کون لگائے

Hindi

बेताब से बेताब तिरी ताब ले आए जीना पड़ा ऐसों को भी जो जी नहीं पाए बातें वही बातें वो न बोली हुई बातें इस तेज़ी से लगती हैं कि अल्लाह बचाए दिखती रही फैली हुई गर्दूं की सियाही कितने ही सितारे मिरी आँखों ने गिनाए ता'रीफ़ भी ऐसी हमें करनी नहीं आई अल्फ़ाज़ भी ऐसे मुत'अद्दिद ही बनाए यक-लख़्त उंडेले गए हम होश में हर बार जाते हुए ख़्वाबों को कभी देख न पाए जानोगे तो जानम तुम्हें जाने नहीं देंगे बेहतर है इन औहाम को जाने दिया जाए आवाज़ से पैवस्ता इक अंदाज़ है 'आमिर' अंदाज़ का अंदाज़ा मगर कौन लगाए

betāb se betāb tirī taab le aa.e
Aamir Azher
Aamir Azher
Aamir Azher
poet27 quotes

More by Aamir Azher

View all →
Quote
"bahut mushkil ki khvaahish ko kabhi aasaan nahin dekhaa nayaa insaan banaane mein koi insaan nahin dekhaa vahaan barsaat dekhi hai jahaan imkaan nahin dekhaa abhi tak is pur-ummidi ne registaan nahin dekhaa gumaan guzre ta'alluq par ki jab tark-e-ta'alluq par mujhe ronaa nahin aayaa use hairaan nahin dekhaa agarche dekhte rahte hain par dekhaa nahin jaataa kai viraaniyaan dekhi hain ghar viraan nahin dekhaa nigaahein saari un pe hain ta'ajjub saaraa ham pe hai to kyaa sach mein nahin dekhaa are haan haan nahin dekhaa nazar tum ne ganvaa di hai magar aankhein to baaqi hain bahut mumkin hai tum ne bhi rukh-e-jaanaan nahin dekhaa"
Aamir AzherAamir Azher
Quote
"sitaaron ki ginti hai ham jaante hain abhi raat baaqi hai ham jaante hain ye shohrat majaazi hai ham jaante hain ki hai bhi nahin bhi hai ham jaante hain bahut saari achchhi si khush-fahmiyon ki jo qimat adaa ki hai ham jaante hain gulistaan nazaare darakht ik muharram jo dil pe guzarti hai ham jaante hain ye zulf-e-khayaal-e-khataa hai na kholo ye khul kar jo karti hai ham jaante hain ye zaat-e-khudaa hai ye dikhti hai dekho magar kis ne dekhi hai ham jaante hain ba-yak-vaqt zabt-o-havas kar ke 'aamir' tabiat jo bigDi hai ham jaante hain"
Aamir AzherAamir Azher
Quote
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
Aamir AzherAamir Azher
Quote
"abhi qubul hai mujh ko udaas ho jaanaa abhi nasib hai qadmon mein un ke so jaanaa kisi kitaab se kaise koi nikaltaa hai kisi kitaab se TuuTaa gulaab to jaanaa tiri shabih mein dekhaa jahaan mein jo dekhaa tiri misaal se jaanaa jahaan mein jo jaanaa zamaana ek mein tahlil kar rahaa hai magar hamesha main ne safed-o-siyah ko do jaanaa ye kis ke ashk paDe hain ye qabr kis ki hai ye kaun rok rahaa hai kisi kaa kho jaanaa ye kitni martaba kitnon ke saath hotaa hai nikal kar ek safar par safar kaa ho jaanaa balaa ke she'r the 'aamir' balaa kaa shor bhi thaa balaa kaa shahr thaa jis ne na aap ko jaanaa"
Aamir AzherAamir Azher