Quote
"apni aankhein hain aur tumhaare khvaab kitne pur-kaif hain hamaare khvaab un ke haq mein baDaa sahaaraa hain dekhte hain jo be-sahaare khvaab haasil-e-zindagi jinhein kahiye kuchh hamaare hain kuchh tumhaare khvaab yunhi bante bigaDte rahte hain gardish-e-vaqt ke sahaare khvaab haan na TuuTe tilism-e-khush-fahmi yunhi dekho 'rais' pyaare khvaab"
