SHAWORDS

ji mein hai yaad rukh-o-zulf-e-siyah-faam bahut — Meer Taqi Meer

HomeMeer Taqi MeerGhazal
"ji mein hai yaad rukh-o-zulf-e-siyah-faam bahut ronaa aataa hai mujhe har sahar-o-shaam bahut dast-e-sayyaad talak bhi na main pahunchaa jiitaa be-qaraari ne liyaa mujh ko tah-e-daam bahut ek do chashmak idhar gardish-e-saaghar ki mudaam sar chaDhi rahti hai ye gardish-e-ayyaam bahut dil-kharaashi-o-jigar-chaaki-o-khun-afshaani huun to naakaam pe rahte hain mujhe kaam bahut rah gayaa dekh ke tujh chashm pe ye satar-e-mizha saaqiyaa yuun to paDhe the main khat-e-jaam bahut phir na aae jo hue khaak mein jaa aasuda ghaaliban zer-e-zamin 'mir' hai aaraam bahut"
Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
poet309 quotes

More by Meer Taqi Meer

View all →
Quote
"khat likh ke koi saada na us ko malul ho ham to huun bad-gumaan jo qaasid-e-rasul ho chaahun to bhar ke kauli uThaa luun abhi tumhein kaise hi bhaari ho mire aage to phuul ho surma jo nuur bakhshe hai aankhon ko khalq ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi khaak dhuul ho jaavein nisaar hone ko ham kis bisaat par ik niim jaan rakhein hain so vo jab qubul ho ham in dinon mein lag nahin paDte hain subh-o-shaam varna du'aa karein to jo chaahein husul ho dil le ke launDe dilli ke kab kaa pachaa gae ab un se khaai pi hui shai kyaa vasul ho naakaam is liye ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to 'mir' saahib-o-qibla ajuul ho"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"jab junun se hamein tavassul thaa apni zanjir-e-paa hi kaa ghul thaa bistara thaa chaman mein jon bulbul naala sarmaaya-e-tavakkul thaa yak nigah ko vafaa na ki goyaa mausam-e-gul safir-e-bulbul thaa un ne pahchaan kar hamein maaraa munh na karnaa idhar tajaahul thaa shahr mein jo nazar paDaa us kaa kushta-e-naaz yaa taghaaful thaa ab to dil ko na taab hai na qaraar yaad-e-ayyaam jab tahammul thaa jaa phansaa daam-e-zulf mein aakhir dil nihaayat hi be-taammul thaa yuun gai qad ke kham hue jaise umr ik rahrav sar-e-pul thaa khuub daryaaft jo kiyaa ham ne vaqt-e-khush 'mir' nikhat-e-gul thaa"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"sair ke qaabil hai dil-sad-paara us nakhchir kaa jis ke har TukDe mein ho paivast paikaan tiir kaa sab khulaa baagh-e-jahaan illaa ye hairaan-o-khafaa jis ko dil samjhe the ham so ghuncha thaa tasvir kaa bu-e-khun se ji rukaa jaataa hai ai baad-e-bahaar ho gayaa hai chaak dil shaayad kaso dil-gir kaa kyunke naqqaash-e-azal ne naqsh abru kaa kiyaa kaam hai ik tere munh par khinchnaa shamshir kaa rahguzar sail-e-havaadis kaa hai be-buniyaad-e-dahr is kharaabe mein na karnaa qasd tum taamir kaa bas tabib uTh jaa miri baalin se mat de dard-e-sar kaam yaan aakhir huaa ab faaeda tadbir kaa naala-kash hain ahd-e-piri mein bhi tere dar pe ham qadd-e-kham-gashta hamaaraa halqa hai zanjir kaa jo tire kuche mein aayaa phir vahin gaaDaa use tishna-e-khun mein to huun us khaak-e-daaman-gir kaa khuun se mere hui yak-dam khushi tum ko to lek muft mein jaataa rahaa ji ek be-taqsir kaa lakht-e-dil se juun chhiDi phulon ki gundhi hai vale faaeda kuchh ai jigar is aah-e-be-taasir kaa gor-e-majanun se na jaaveinge kahin ham be-navaa aib hai ham mein jo chhoDein Dher apne piir kaa kis tarah se maaniye yaaro ki ye aashiq nahin rang uDaa jaataa hai Tak chehra to dekho 'mir' kaa"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"koi huaa na ru-kash Tak meri chashm-e-tar se kyaa kyaa na abr aa kar yaan zor zor barse vahshat se meri yaaro khaatir na jama rakhiyo phir aave yaa na aave nau pur uThaa jo ghar se ab juun sarishk un se phirne ki chashm mat rakh jo khaak mein mile hain gir kar tiri nazar se didaar khvaah us ke kam hon to shor kam ho har subh ik qayaamat uThti hai us ke dar se daagh ek ho jilaa bhi khuun ek ho bahaa bhi ab bahs kyaa hai dil se kyaa guftugu jigar se dil kis tarah na khinchein ashaar rekhte ke behtar kyaa hai main ne us aib ko hunar se anjaam-e-kaar bulbul dekhaa ham apni aankhon aavaara the chaman mein do chaar TuuTe par se be-taaqati ne dil ki aakhir ko maar rakhaa aafat hamaare ji ki aai hamaare ghar se dilkash ye manzil aakhir dekhaa to aah nikli sab yaar jaa chuke the aae jo ham safar se aavaara 'mir' shaayad vaan khaak ho gayaa hai yak gard uTh chale hai gaah us ki rahguzar se"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer

More on Yaad

View all →
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar