SHAWORDS

savaal kaa javaab thaa javaab ke savaal mein — Abdul Ahad Saaz

"savaal kaa javaab thaa javaab ke savaal mein giraft-e-shor se chhuTe to khaamushi ke jaal mein buraa ho aaine tiraa main kaun huun na khul sakaa mujhi ko pesh kar diyaa gayaa miri misaal mein baqaa-talab thi zindagi shifaa-talab thaa zakhm-e-dil fanaa magar likhi gai hai baab-e-indimaal mein kahin sabaat hai nahin ye kaaenaat hai nahin magar umid-e-did mein tasavvur-e-jamaal mein qadim se haTe to ham jadid mein ulajh gae nikal ke gardish-e-falak se mausamon ke jaal mein"
Abdul Ahad Saaz
Abdul Ahad Saaz
Abdul Ahad Saaz
poet95 quotes

More by Abdul Ahad Saaz

View all →
Quote
"band fasilein shahr ki toDein zaat ki girhein kholein bargad niche nadi kinaare baiTh kahaani bolein dhire dhire khud ko nikaalein is bandhan jakDan se sang kisi aavaara manush ke haule haule ho lein fikr ki kis sarshaar Dagar par shaam Dhale ji chaahaa jhiil mein Thahre apne aks ko chumein honT bhigo lein haath lagaa baiThe to jivan bhar maqruz raheinge daam na puchhein dard ke saahab pahle jeb TaTolein naushaadar gandhak ki zabaan mein sher kahein is yug mein sach ke niile zahr ko lahje ke tezaab mein gholein apni nazar ke baaT na rakkhein 'saaz' ham ik palDe mein bojhal tanqidon se kyuun apne izhaar ko taulein"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"meri aankhon se guzar kar dil o jaan mein aanaa jism mein Dhal ke miri ruh-e-ravaan mein aanaa kho na jaanaa miri jaan sarhad-e-jaan tak aa ke qurb kaa paas liye buad-e-karaan mein aanaa main tire husn ko raanaai-e-maani de duun tu kisi shab mire andaaz-e-bayaan mein aanaa saath chalne ko rafiq-e-rah-e-duniyaa hain bahut tu mire saath mire apne jahaan mein aanaa laa-makaan sher ki bandish mein simaTnaa pal bhar aasmaan aaina-e-aab-e-ravaan mein aanaa ishq ne dekh liye husn mein aafaaq tamaam ek sakte kaa vo umr-e-guzraan mein aanaa zinat-e-dast-e-hinaai hai yahi duzd-e-hinaa ghaib kaa maaraza-e-vaqt-o-makaan mein aanaa tishna-e-nur miri fikr ke mahtaab o nujum mire khurshid miri kaahkashaan mein aanaa"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"savaal be-amaan ban ke rah gae javaab imtihaan ban ke rah gae had-e-nigaah tak buland falsafe gharon ke saaebaan ban ke rah gae jo zehan, aagahi ki kaar-gaah the khayaal ki dukaan ban ke rah gae bayaaz par sambhal sake na tajrabe phisal paDe bayaan ban ke rah gae kiran kiran yaqin jaise raaste dhuaan dhuaan gumaan ban ke rah gae ziyaaein baanTte the, chaand the kabhi gahan lagaa to daan ban ke rah gae miraa vajud shahr shahr ho gayaa kahin kahin nishaan 'ban' ke rah gae kamar javaab de ke jhuk gai badan savaaliya nishaan ban ke rah gae main fan ki saaaton ko lab na de sakaa nuqush be-zabaan ban ke rah gae nafas nafas talab talab the 'saaz' ham qadam qadam takaan ban ke rah gae"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"yuun bhi dil ahbaab ke ham ne gaahe gaahe rakkhe the apne zakhm-e-nazar par khush-fahmi ke phaahe rakkhe the ham ne tazaad-e-dahr ko samjhaa do-raahe tartib diye aur baratne nikle to dekhaa sah-raahe rakkhe the raqs-kada ho bazm-e-sukhan ho koi kaargah-e-fan ho zardozon ne apni maa-tahti mein julaahe rakkhe the mohtasibon ki khaatir bhi apne izhaar mein kuchh pahlu rakh to liye the ham ne ab chaahe an-chaahe rakkhe the jo vajh-e-raahat bhi na the aur TuuT gae to gham na huaa aah vo rishte kyuun ham ne ik umr nibaahe rakkhe the kaahkashaan-bandi mein sukhan ki rah gai 'saaz' kasar kaisi lafz to ham ne chun ke najume mohre maahe rakkhe the"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"saamea lazzat-e-bayaan-zada zehn o dil sehr-e-daastaan-zada fikr o tahqiq rehn-e-mohr-o-sanad taalib-e-ilm imtihaan-zada zaat ki fikr hai qayaas-aalud zindagi kaa yaqin gumaan-zada raat pahchaan de gai sab ko subh chehre mile nishaan-zada taak mein hai na ki taaaqub mein tu shikaari hai par machaan-zada un ki fikr-e-rasaa falak-paimaa apni sochein hain aasamaan-zada khud se rishte nahin rahe lekin log ab bhi hain khaandaan-zada raat hai log ghar mein baiThe hain daftar-aaluda o dukaan-zada"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"lafzon ke sahraa mein kyaa maani ke saraab dikhaanaa bhi koi sukhan sahaabi koi naghma nakhlistaana bhi ik muddat se hosh-o-khabar ki khaamoshi raaij hai yahaan kaash dayaar-e-asr mein gunje koi sadaa mastaana bhi nape-tule aahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karein koi dhun divaani koi harakat majnunaanaa bhi shahr se baahar kohsaaron ke biich ye Thahraa Thahraa din kitnaa apnaa saa lagtaa hai aaj dil-e-begaana bhi ek tilismi raah fasil-e-tan se navaah-e-jaan tak hai jis ki khoj mein kho jaao to mumkin hai paa jaanaa bhi aagaahi maakus safar hai daanish-gaah ke raste kaa jis kaa har jaanaa-pahchaanaa manzar hai an-jaanaa bhi bol vahi hain sur bhi vahi mizraab ki jumbish badle to yaas-o-alam ke taaron mein muzmar hai ek taraana bhi haasil aur laa-haasil par ab vaise bhi kiyaa ghaur karein aur chhalakne vaalaa ho jab saanson kaa paimaana bhi kitni aag kashaakash kitni kitnaa tahammul hai darkaar 'saaz' koi aasaan nahin hai lafzon ko pighlaanaa bhi"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz

More on Zindagi

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar