Quote
"jo andheron mein misaal-e-yad-e-baizaa Thahre bas vahi log zamaane mein tamaashaa Thahre jo masihaa ki tavajjoh ho kisi aur taraf manzil-e-dard mein kis tarah mudaavaa Thahre aap ko rang-e-mohabbat bhi nazar aa jaae meri aankhon mein zaraa khuun kaa dariyaa Thahre darmiyaan apne agar dard kaa rishta na rahe phir to duniyaa mein har ik shakhs akelaa Thahre dosto sang-e-malaamat pe na israar karo ham se ye baar na uTThegaa ki shisha Thahre ab na shirin hai na vo vaa’da-e-fardaa kaa yaqin dast-e-farhaad mein phir kis liye tesha Thahre"
