Quote
"dast-e-saaqi sharaab hotaa hai rukh-e-jaanaan gulaab hotaa hai jaise hotaa hai ek kaar-e-gunaah vaise kaar-e-savaab hotaa hai jab vo detaa hai dosti mein fareb dil miraa aab aab hotaa hai kisi dariyaa-e-maujzan ki tarah aankh mein bhi chanaab hotaa hai kaun is par hazaar jaan se fidaa main hi meraa javaab hotaa hai aks angDaai le bhi saktaa hai aaina mahv-e-khvaab hotaa hai charkh-e-raushan ke nuur se 'aadil' band zulmat kaa baab hotaa hai"
