Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Khwaja Mohammad Wazir
har uzv musaafir hai nahin kuchh safari aankh
hai aakhir-e-shab umr charaagh-e-sahari aankh
kyaa karti hai dilkash sukhan ai rashk-e-pari aankh
lo siikh gai tarz-e-kalaam-e-bashri aankh
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
jo khaas bande hain vo banda-e-avaam nahin
hazaar baar jo yusuf bike ghulaam nahin
bhalaa ho kyaa dil-e-zaahid mein soz-e-ulfat-e-haq
kabhi jalaane ke qaabil charaagh-e-khaam nahin
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
chalaa hai o dil-e-raahat-talab kyaa shaadmaan ho kar
zamin-e-ku-e-jaanaan ranj degi aasmaan ho kar
kiyaa viraan chaman ko aae ho kyaa bostaan ho kar
hue gul paani paani ye chali aab-e-ravaan ho kar
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
nahin kaTtaa hai ye maidaan-e-balaa
vaadi-e-khizr bayaabaan-e-balaa
mustaid zulf miri ranj pe hai
hai muhayyaa sar-o-saamaan-e-balaa
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
mere naalon se tah-o-baalaa hui aksar zamin
zer-e-paa aayaa falak aur baarhaa sar par zamin
hai dayaar-e-maah-ru kaa bas yahi qaasid nishaan
aasmaan tujh ko nazar aaegi vaan ki sar-zamin
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
tire rukh kaa kise saudaa nahin hai
gul-e-laala talak sahraa-nashin hai
phiraa hai aap vo mah-ru hamaaraa
tiraa ai aasmaan shikva nahin hai
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
ek aalam ne jubba-saai ki
ai buto tum ne bhi khudaai ki
aashiqon ke lahu ki pyaasi hain
machhliyaan us kaf-e-hinaai ki
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
baat kaa apni na jab paayaa javaab
ham ye samjhe vo dahan hai laa-javaab
baatein sunvaain lab-e-khaamosh ne
varna ham dete use kyaa kyaa javaab
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
kis ki phir jhuTi qasam khaaiyegaa
thaam luun dil ko zaraa haathon se
abhi pahlu se na uTh jaaiyegaa
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
jiite ji bas vo but rahaa hamraah
ab to bande ke hai khudaa hamraah
dil diyaa us ko par ye Dartaa huun
dushman ik dost ke kiyaa hamraah
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
tiri taraf se dil ai jaan-e-jaan uThaa na sake
bahut zaiif the baar-e-garaan uThaa na sake
hazaar baar bahaar aai lekin ai sayyaad
nigaah ham taraf-e-bostaan uThaa na sake
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
tegh-e-uryaan pe tumhaari jo paDi meri aankh
chashm-e-jauhar se aji khuub laDi meri aankh
na haTi peT par us ke jo paDi meri aankh
ban gai naaf-e-shikam aise aDi meri aankh
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
ezaar-e-yaar pe zulf-e-siyaah-faam nahin
magar ye hashr kaa din hai ki jis ki shaam nahin
firaaq-e-yaar mein dono se ham ko kaam nahin
havas sahar ki nahin aarzu-e-shaam nahin
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
abr kyaa ghir ghir ke aayaa khul gayaa
bas sabaat-e-bahr-e-duniyaa khul gayaa
raaz-e-dil kitnaa chhupaayaa khul gayaa
haal is daulat-saraa kaa khul gayaa
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
hai naqsh-e-diram jo naqsh-e-paa hai
aap aate to ghar diram-siraa hai
dil jalva tiraa dikhaa rahaa hai
shisha ye miraa pari-numaa hai
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
hai ghalat gar tire daanton ko kahun taare hain
ki dahan mushaf-e-naatiq hai ye sipaare hain
apni hasti mein to aasaar-e-fanaa saare hain
shaam ko zarre hain aur subh ko ham taare hain
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh
mizhgaan ki zabaanon se kare nauhagari aankh
jam jaae tasavvur jo tire buuTe se qad kaa
pathraa ke bane saaf aqiq-e-shajari aankh
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
chhaantaa hai khaak kyaa tu ghar banaane ke liye
fikr rahne ki na kar aayaa hai jaane ke liye
aur ko kyaa ranj duun raahat uThaane ke liye
ek tinke ko na chheDun aashiyaane ke liye
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
aashiq-e-zulf-o-rukh-e-dildaar aankhein ho gaiin
mubtilaa-e-kaafir-o-dindaar aankhein ho gaiin
surkh palkein ho gaiin khun-baar aankhein ho gaiin
dekh lo ab zakhm-e-daaman-daar aankhein ho gaiin
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
chale but-khaane ko khudaa-haafiz
tum bhi zaahid kaho khudaa-haafiz
tere kuche se pech uThaa ke chale
gesu-e-mushkbu khudaa-haafiz
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
khudaa-numaa hai but-e-sang-e-aastaana-e-ishq
chalungaa paa-e-nigah ban ke su-e-khaana-e-ishq
na kam hon sikka-e-daagh-e-dil-e-yagaana-e-ishq
bharaa paDaa rahe yaarab sadaa khazaana-e-ishq
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
tangi-e-dahan se hai aDi baat
chhoTaa saa hai munh tiraa baDi baat
kyaa charb-zabaan vo shoala-ru hai
lab tak aa kar phisal paDi baat
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
main saraapaa mazhar-e-ism-e-khudaa vallaah huun
ham-safiro is chaman mein murgh-e-bismillaah huun
kis taraf jaaun dikhaa do yaa mohamaad raah-e-haq
yaan har ik gumraah kahtaa hai main khizr-e-raah huun
· · ·
Khwaja Mohammad Wazir
gauhar-e-ashk se labrez hai saaraa daaman
aaj-kal daaman-e-daulat hai hamaaraa daaman
ai junun baad-e-bahaari se nahin jumbish mein
kuchh garebaan se kartaa hai ishaaraa daaman
· · ·







