SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAah Sambhali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jaagnaa saae mein aur dhuup mein sonaa us kaa us ke ehsaas se saabit thaa na honaa us kaa dil-shikasta ho vo kyon sar-phiri baaton se miri main ne bachpan mein bhi toDaa thaa khilaunaa us kaa ik sitam-pesha tabiat kaa pata detaa hai kaaghazi naav ko baarish mein Dubonaa us kaa phir koi yaad chhuDaa leti hai ungli mujh se yaad aataa hai kisi bhiiD mein khonaa us kaa ek hi TuuTe hue pul ke the raahi donon maut se baDh ke thaa vo duur se ronaa us kaa khud-shanaasi kaa koi ilm na thaa 'aah' use log miTTi mein milaate rahe sonaa us kaa"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"sadaa-bahaar jo the dard vo puraane gae hamaare saath mein mausam bhi sab suhaane gae tujhe khabar nahin taamir-e-nau ke paagal-pan chhatein girin to parindon ke aashiyaane gae jahaan saraabon kaa ik mauj-mauj suraj thaa vahin bhaDakti hui pyaas sab bujhaane gae bikharne do kisi aavaara yaad ki khushbu ki bhuul jaane ke bhi ab use zamaane gae us ek naqsh-e-gurezaan pe dastaras kaisi havaa jo ruThi to raston mein ham manaane gae vo khud bhi TuuT gayaa lams-e-dida-var se 'aah' mizaaj phuul kaa patthar se aazmaane gae"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"khizr jis se bane us aab-e-baqaa se Dariye lambi umron se buzurgon ki duaa se Dariye ham-qadam ban gae us ke to Thikaana hi nahin aati jaati hui be-samt havaa se Dariye niyyat-e-jurm hi hai jurm kaa aaghaaz yahaan jo na ki ho usi naa-karda khataa se Dariye saaneha runumaa ho jaaegaa shaq hone par teshe ko rokiye patthar ki anaa se Dariye pattaa pattaa yahaan baiThaa hai sameTe khud ko gungunaati hui is baad-e-sabaa se Dariye aur shai hain to koi Darne ki haajat hi nahin aap bande hain khudaa ke to khudaa se Dariye rahmatein zahmatein ban jaati hain aksar ai 'aah' ho na ye sail-e-balaa kaali ghaTaa se Dariye"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"mat fikr-e-mudaavaa kar ai dast-e-masihaai dariyaaon se gahri hai is zakhm ki gahraai ik manzil-e-hijrat mein jab yaad tiri aai rangon ko churaa laai khushbu ko uDaa laai har chehra paraayaa hai har aankh mein nafrat hai jaaegi kahaan le kar ai sharm-e-shanaasaai ye kaisaa saveraa thaa kis dard kaa suraj thaa har raushni zulmat ki dahliz pe le aai jab hijr muqaddar hai milne hi nahin degaa suraj ki to yaktaai mein chaand ki tanhaai ab tum ko bhi honaa hai ojhal miri nazron se deti hai sadaa mujh ko vo manzil-e-rusvaai"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"mujhe bhi paDh lo ki harf-e-savaab ban jaaun varaq varaq huun kisi din kitaab ban jaaun mire baghair bhi kuchh din guzaar le ai dost na itnaa pi ki main teri sharaab ban jaaun baDhaa na faasle har roz ajnabi ki tarah na yuun bulaa ki main tujh par azaab ban jaaun kiyaa thaa tu ne to raushan charaagh kah ke mujhe ye meraa hausla main aaftaab ban jaaun kahaan ye sochaa thaa ghabraa ke jis se niklaa huun phir ek din usi jangal kaa khvaab ban jaaun bulaa rahi hain mujhe duur ki havaaein 'aah' ye lag rahaa hai ki khaana-kharaab ban jaaun"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"udaasiyon kaa musalsal ye daur chalnaa hai na koi haadsa honaa na ji bahalnaa hai vo aur honge milaa jin ko raushni kaa safar hamein to bujhte charaaghon ke saath chalnaa hai ye Dhalti umr ke raste bahut thakaa deinge qadam qadam pe nayaa raasta nikalnaa hai vidaaa ho gai kah kar ye khushbuon ki sadaa gulaab-jismon ko ab pattharon mein Dhalnaa hai kisi kaa lahrein manaaeingi jashn-e-gharqaabi phir aaj raat samundar bahut uchhalnaa hai miri shikast mein muzmar hai teri kotaahi tujhe bhi meri tarah kal ko haath malnaa hai"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"ab na vo ishq na kuchh us ki khabar baaqi hai hai safar khatm ik aashob-e-safar baaqi hai koi aayaa na gayaa barson se in raahon mein maarka kaisaa sar-e-raahguzar baaqi hai jalne paataa nahin koi diyaa koi jugnu taaq-e-dil mein gai aandhi kaa asar baaqi hai ab bhi kahlaataa hai vo shakhs to mahbub-e-nazar dil dukhaane kaa abhi us mein hunar baaqi hai aakhiri shama to lo bujh gai jal kar yaaro is dhuein mein magar imkaan-e-sahar baaqi hai sab maraahil se guzar bhi liye kab ke ham 'aah' habs-e-tanhaai mein mar jaane kaa Dar baaqi hai"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"pas-e-saahil tamaashaa kyaa hai baDh kar dekh lenaa thaa ki pahle pheink kar dariyaa mein patthar dekh lenaa thaa mukammal jism ik parchhaain mein Dhal jaataa hai kaise tumhein khiDki se apni ye bhi manzar dekh lenaa thaa zaminon par utartaa aasmaan dekhaa kabhi tum ne bulaate vaqt us ko khaak kaa ghar dekh lenaa thaa khulin aankhein jo baad-az-vaqt to ab kyaa talaafi ho safina dekhne vaalo samundar dekh lenaa thaa charaagh-e-taaq-e-nisyaan se na jalte ho na bujhte ho tumhein ik din havaa se bhi lipaT kar dekh lenaa thaa liye ik naafaa-e-aahu phire ho dar-ba-dar tum 'aah' tumhein us kaa saraapaa apne andar dekh lenaa thaa"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"subh-e-be-nur na ho dhyaan mein rakh ek suraj ko garebaan mein rakh din mein kuchh aur huun shab mein kuchh aur lamha lamha mujhe pahchaan mein rakh jal bujhaa taaq-e-sahar mein kab kaa ab mujhe shab ke bayaabaan mein rakh huiin yakh-basta sabhi pichhli rutein yaad ki dhuup ko daalaan mein rakh bach ke is shor-e-samaaat se zaraa apne kuchh raaz mire kaan mein rakh main kahaan aur kahaan baazaar-e-hunar dard huun 'mir' ke divaan mein rakh abhi ho jaaegaa farq-e-gul-o-sang main huun kyaa shai mujhe mizaan mein rakh"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"taalluqaat-e-musalsal bhi taaziyaane the vo dhaage TuuT gae jo bahut puraane the tire milan se tiraa intizaar behtar thaa bane na jism jo saae vahi suhaane the sinaaein lafzon ki sab sath-e-sang par TuTin tumhein ye vaar to phulon pe aazmaane the hamaare baa'd bhi raunaq na aai us ghar par charaagh ek havaa ko kai bujhaane the bachaa na koi musaafir bhi darmiyaan-e-safar na jaane kaun se tiron ke sab nishaane the ye baam-o-dar pe jo chamki thi dhuup si ai 'aah' miri talaash mein guzre hue zamaane the"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"yahaan makinon se khaali makaan rahte hain mohabbatein nahin rahtin gumaan rahte hain khudaa kare ki sune tu zabaan-e-khaamoshi tire paDos mein kuchh be-zabaan rahte hain na kiije takiya buzurgon ki Dhalti chhaanv par kahaan saron pe sadaa saaebaan rahte hain yahi jahaan hai hamaaraa jahaan-e-gumshudgi yahi nishaan ki bas be-nishaan rahte hain mohabbatein jis ufuq se tulua hoti hain vahin pe mil ke zamin aasmaan rahte hain tire suluk ne dhundlaa diye sab afsaane ham apne se bhi bahut bad-gumaan rahte hain har ek shakhs ko majbur 'aah' mat jaano ki shishe bhi kahin ban kar chaTaan rahte hain"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"koi rukne ki tire shahr mein tadbir na thi mere haathon mein tiri zulf bhi zanjir na thi dekh kar tum ko saraabon kaa tamaashaa saa rahaa khvaab thaa ye bhi kisi khvaab ki taabir na thi so chukaa thaa kisi maasum farishte ki tarah us ki aankhon mein to qaatil ki bhi tasvir na thi regzaaron se lagaao rahaa yuun hi varna ret par mere liye koi bhi tahrir na thi itni qurbat pe vo begaana rahaa kyon mujh se us ke dil mein koi divaar to taamir na thi sar qalam hote rahe naam pe chaahat ke magar koi raanjhaa na thaa basti mein koi hiir na thi aaj fankaar hai ik miTTi ke Dhele ki tarah thi to pahle bhi par itni kabhi tahqir na thi"
Aah SambhaliAah Sambhali
Quote
"vo to hai dushman-e-jaan daad-e-vafaa kyaa degaa jo kabhi zahr na dai paayaa davaa kyaa degaa kal kahin aaj kahin apnaa safar naa-maa'lum koi be-samt havaaon kaa pataa kyaa degaa is se sar phoD ke mar jaao to kuchh baat bane zindagi ye tumhein patthar kaa khudaa kyaa degaa khud tumhin jism ki divaar mein khiDki kholo ek zindaan hai saanson kaa havaa kyaa degaa zard patton ki tarah girte hain pal pal aansu teraa gham bhi mujhe ab saaya ghanaa kyaa degaa zindagi naam hui us ke to Darnaa kaisaa 'aah' ab maut se baDh kar vo sazaa kyaa degaa"
Aah SambhaliAah Sambhali