Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Abida Karamat
aag ke safar mein jab raakh kaa badan hogaa
ek saans lenaa bhi zindagi kaa fan hogaa
jo bhi main ne sochaa thaa vo hi ab ke likkhaa hai
tang aur bhi ab ke halqa-e-rasan hogaa
· · ·
Abida Karamat
hisaar mein liye be-naam ek vahshat thi
yahi mataa' yahi zindagi ki qimat thi
kahin qiyaam bhi karte to bad-gumaan rahte
hamaare pair se lipTi hui vo hijrat thi
· · ·
Abida Karamat
koi baDh kar sitam mujh par sitam-ijaad kyaa kartaa
basaayaa hi nahin jis ko use barbaad kyaa kartaa
sikhaayaa bolnaa us ko zabaan-e-be-zabaani se
agar lab khol leti main vo phir irshaad kyaa kartaa
· · ·
Abida Karamat
qalam ko khuun mein gharqaab dekhte jaao
zamin-e-sher ko shaadaab dekhte jaao
nigaah hote hue sail-e-khun pe chup rahnaa
hamaare shahr ke aadaab dekhte jaao
· · ·
Abida Karamat
‘uqde khule na mujh pe tire khad-o-khaal ke
har saans chal diyaa mujhe uljhan mein Daal ke
jo khud ganvaa chukaa hai kahin 'umr-e-mo'tabar
vo kyaa hisaab degaa mire maah-o-saal ke
· · ·
Abida Karamat
nadi ehsaas ki chaDhti rahi hai
vafaa ki raah mein baDhti rahi hai
kisi se jang kyaa laDki kare vo
jo apne aap se laDti rahi hai
· · ·
Abida Karamat
kisi khushi kaa mire dil ko e'tibaar na de
jo e'tibaar agar de to be-shumaar na de
rasan ho ruuh ko aur paanv ki bane zanjir
kisi nigaah ko ab mujh pe ikhtiyaar na de
· · ·
Abida Karamat
khud apni zaat ko pahle mujhe taskhir karnaa thaa
isi buniyaad par phir shahr-e-dil taa'mir karnaa thaa
hamein par bhi katarne the anaa ko dafn karnaa thaa
kisi ke naam ko phir paanv ki zanjir karnaa thaa
· · ·
Abida Karamat
har habs ke mausam mein guzar main ne kiyaa hai
aandhi mein diyaa le ke safar main ne kiyaa hai
Daalaa kahaan hathiyaar kabhi meri anaa ne
har jang mein is ko hi sipar main ne kiyaa hai
· · ·
Abida Karamat
tamaam 'umr vo ehsaan mujh pe kartaa rahaa
miri hi raakh se vo zakhm meraa bhartaa rahaa
talaash taa-ba-falak jis ki le gai mujh ko
vo jab milaa to mire baal-o-par katartaa rahaa
· · ·
Abida Karamat
us ne jaane ki kahi ho jaise
koi aandhi si chali ho jaise
aaj kuchh aisi thakan hai mujh ko
raat aankhon mein kaTi ho jaise
· · ·
Abida Karamat
ab ke hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh
shahr-e-gulaab mein kabhi kaanTon pe chal ke dekh
jo bhi hai jaisaa us ko usi tarz se parakh
us ko badal ke dekh na khud ko badal ke dekh
· · ·
Abida Karamat
har ek harf ko ham paaemaal karte rahe
tamaam 'umr tujhi se savaal karte rahe
abhi jo jaan-e-rag-e-qalb par lagaa hi nahin
us ek zakhm kaa hi indimaal karte rahe
· · ·
Abida Karamat
saahil na koi ab ke miri dastaras mein thaa
tufaan kaun saa miri mauj-e-nafas mein thaa
majburiyon ke DhunDh ke laayaa thaa vo javaaz
mujh se bichhaDte vaqt magar pesh-o-pas mein thaa
· · ·
Abida Karamat
lab-e-furaat kahaan ham qiyaam karte hain
ki ham to tishna-labi ko salaam karte hain
chaDhaaein kis liye patthar pe phuul ki chaadar
burida laashon kaa jo ehtiraam karte hain
· · ·
Abida Karamat
kisi hijr kaa kisi qurb kaa koi silsila jo guzar gayaa
miri manzilon ki naved thaa vahi raasta jo guzar gayaa
kise vaqt thaa jise dekh kar koi sochtaa koi puchhtaa
vahi ek chhoTaa saa saaniha pas-e-vaaqi'a jo guzar gayaa
· · ·
Abida Karamat
hai dost koi yaa miraa qaatil koi to hai
khush huun ki meraa madd-e-muqaabil koi to hai
junhi main Duubi bhiiD kinaare pe lag gai
is laash ke liye chalo saahil koi to hai
· · ·
Abida Karamat
'ishq mein ham se mashaqqat nahin karni aai
jaise karte hain mohabbat nahin karni aai
aap ke haath pe ham haath bhi rakhte kaise
ham se to apni hi bai'at nahin karni aai
· · ·
Abida Karamat
main duniyaa dekh kar hairat-zada thi
so meri 'aql ki ye intihaa thi
main tufaanon mein kaise ghir gai huun
main gird-o-pesh se jab aashnaa thi
· · ·
Abida Karamat
bahaa ke basti ko matla' jo khul gayaa saain
qubul ho gai kahte ho vo du'aa saain
so itnaa habs baDhaayaa gayaa ki phir aakhir
charaagh de ke kharidi gai havaa saain
· · ·
Abida Karamat
khayaal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai
miri nigaah ke vo aainon mein rahti hai
vo meri chhoTi si guDiyaa vo jaan se pyaari
vajud-e-zaat ki sab dhaDkanon mein rahti hai
· · ·







