SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAgha Hajju Sharaf(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aalam mein hare honge ashjaar jo main royaa gulchin nahin sincheinge gulzaar jo main royaa barsegaa jo abr aa kar khul jaaegaa dam bhar mein aansu nahin thamne ke ai yaar jo main royaa rooge jharoke mein tum hichkiyaan le le kar ai yaar kabhi zer-e-divaar jo main royaa zakhmi huun to hone do kyuun yaar bisorun main kyaa baat rahi khaa kar talvaar jo main royaa huun mustaid-e-riqqat farhaad mujhe bahlaa le Dubeinge tujh ko bhi kohsaar jo main royaa majnun ne kahaa jaao vahshat unhein dikhlaao baiThaa huaa sahraa mein be-kaar jo main royaa rahm aa hi gayaa un ko kaTvaa de miri beDi zindaan mein chillaa kar ik baar jo main royaa ki ghusse ke maare phir us ne na nigah sidhi in ankhDiyon kaa ho kar bimaar jo main royaa betaabi o zaari par meri unhein rahm aayaa dikhlaa hi diyaa mujh ko didaar jo main royaa aaraam vo karte hain rulvaa na mujhe ai dil Thahreinge na vo ho kar bedaar jo main royaa aae the ba-mushkil vo laae the 'sharaf' un ko phir uTh gae vo ho kar bedaar jo main royaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"havas gulzaar ki misl-e-anaadil ham bhi rakhte the kabhi thaa shauq-e-gul ham ko kabhi dil ham bhi rakhte the qazaa bhi tere haathon chaahte the tujh ko kyaa kiije nahin to tegh-e-dam ke saath qaatil ham bhi rakhte the khataa-e-ishq par ham par na itnaa bhi sitam Dhaao agar chaahaa to chaahaa kyaa huaa dil ham bhi rakhte the khudaa ko ilm hai zinda hai yaa jal-bhun gayaa shab ko dil apnaa tere parvaanon mein shaamil ham bhi rakhte the miri jaan-baaziyon par gor mein rustam ye kahtaa hai na the aise jari go sher kaa dil ham bhi rakhte the ilaaqa ishq kaa lete ye soche honge barbaadi vagarna naqd-e-jaan o sikka-e-dil ham bhi rakhte the khudaa ke saamne hogi jo pursish ishq-baazon ki kaheinge ham bhi itnaa ishq-e-kaamil ham bhi rakhte the tamannaa thi hamein bhi teri sohbat dekh lene ki ki parvaane the shauq-o-zauq-e-mahfil ham bhi rakhte the baDe uqda-kushaa the tum to hal is ko bhi karnaa thaa muhimm-e-ishq sar karne ki mushkil ham bhi rakhte the talaash-e-yaar mein khufiya gae ushshaaq duniyaa se khabar bhi ki na ham ko shauq-e-manzil ham bhi rakhte the koi lahza judaai mein taDapne se na fursat thi kabhi pahlu mein dil maanind-e-bismil ham bhi rakhte the junun kaa zor thaa dil mein jagah kar li thi vahshat ne gharaz pesh-e-nazar lailaa o mahmil ham bhi rakhte the jagah dil ki tarah pahlu mein di hoti hamein tum ne liyaaqat is sar-afraazi ke qaabil ham bhi rakhte the use kyunkar na kahte ham ki yaktaa hai khudaai mein shanaasaa the tamiz-e-haqq-o-baatil ham bhi rakhte the khudaa ne jaan chhuDvaai 'sharaf' vo khud bigaD baiThaa haqiqat mein ajab maashuq-e-jaahil ham bhi rakhte the"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"uD kar suraagh-e-kucha-e-dilbar lagaaiye kis tarah donon baazuon mein par lagaaiye ik tiir dil par ek jigar par lagaaiye hissa lagaaiye to baraabar lagaaiye phulon mein topiye mujhe naazuk-dimaagh huun lillaah is lahad mein na patthar lagaaiye jab bazm-e-yaar mein hai takalluf rasaai kaa khalvat-saraa-e-khaas mein bistar lagaaiye har dam kiyaa kare rag-e-jaan marhabaa kaa shor is nok-jhonk se koi nashtar lagaaiye barson se be-qaraar hai taskin ke liye jhukiye zaraa jigar se mire sar lagaaiye kyaa bastani qafas ki ye bulbul ko bhejiye hisse mein us ke phulon ki chaadar lagaaiye jaa apne dil mein dijiye mujh saaf-qalb ko aaine mein shabih-e-sikandar lagaaiye yaavar nasib ho to hasinon ko chaahiye dil un se aazmaa ke muqaddar lagaaiye aksar vo kahte hain ki jo bosa talab kare is guftugu pe munh ise kyunkar lagaaiye aae dahaan-e-zakhm se aavaaz aur aur is is adaa-o-naaz se khanjar lagaaiye purze mire uDaaiye bhejaa hai main ne khat be-jurm kyuun kabaab-e-kabutar lagaaiye surat jo ek ek ki taktaa hai aaina hasrat ye hai suraagh-e-sikandar lagaaiye hain aap to tamaam khudaai ke naakhudaa meraa jahaaz bhi lab-e-kausar lagaaiye barham-mizaaj ho ke vo bargashtagi kare daftar mein jis ke fard-e-muqaddar lagaaiye daulat jo mujh gharib ki luuTi hai aap ne kyaa kijiyegaa hissa-e-lashkar lagaaiye jitnon ki jaanein liin hain unhein khun-bahaa mile puuraa hisaab dekh ke daftar lagaaiye us gul ki aa hi jaaegi khushbu dimaagh mein chaliye riyaaz-e-ishq mein chakkar lagaaiye ifshaa kiyaa jo ishq to jhunjhlaa ke bole vo likhvaa ke ishtihaar ye ghar ghar lagaaiye sau jaa se dil phaTaa hai kalejaa hai chaak chaak paivand phaaD phaaD ke chaadar lagaaiye phir uTh ke tere haath se kaTvaaiye galaa kyun-kar dobaara jism mein phir sar lagaaiye saath is qadar hain us shah-e-khubaan ke sarfarosh barson hisaab kasrat-e-lashkar lagaaiye kahte hain lakht-e-dil ko vo baazaar-e-husn mein saudaa ye mere urdu se baahar lagaaiye mujh se lagaavaT aap ki shamshir karti hai martaa huun us pe is ko mire sar lagaaiye sailaab-e-ashk ne mire raste kiye hain band kashti mangaa ke muttasil-e-dar lagaaiye khilat shahid-e-naaz ko bhijvaate hain javaab kashti mein pahle phulon ki chaadar lagaaiye pahunchaa ke khat halaal huaa hai ye ai 'sharaf' aankhon se le ke khun-e-kabutar lagaaiye"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"ishq-e-dahan mein guzri hai kyaa kuchh na puchhiye naaguftani hai haal miraa kuchh na puchhiye kyaa dard-e-ishq kaa hai mazaa kuchh na puchhiye kahtaa hai dil kisi se davaa kuchh na puchhiye mahshar ke daghdaghe kaa main ahvaal kyaa kahun hangaama jo huaa so huaa kuchh na puchhiye jab puchhiye to puchhiye kyaa guzri ishq mein ham se to aur us ke sivaa kuchh na puchhiye kyaa kyaa ye sabz baagh dikhaati hai nazaa mein dam de rahi hai jo jo qazaa kuchh na puchhiye puchhaa jo ham ne gor-e-gharibaan kaa jaa ke haal aai ye turbaton se sadaa kuchh na puchhiye qismat se paaiye jo kabhi us ko khush-mizaaj kyaa kuchh na kahiye yaar se kyaa kuchh na puchhiye ragDi hain eDiyaan to hui hai ye mustajaab kis aajizi se ki hai duaa kuchh na puchhiye chhoDaa jo murda jaan ke sayyaad ne mujhe kyunkar uDaa main ho ke rihaa kuchh na puchhiye tarsaa kiyaa main daulat-e-didaar ke liye qismat ne jo suluk kiyaa kuchh na puchhiye ulfat kaa naam le ke nazar-band ho gae paai jo pyaar kar ke sazaa kuchh na puchhiye kyaa sarguzisht gor-e-gharibaan ki main kahun ahvaal-e-bandagaan-e-khudaa kuchh na puchhiye khushbu ne aap ki jo sar-afraaz use kiyaa kis naaz se chali hai sabaa kuchh na puchhiye puchhaa 'sharaf' ke marne kaa un se jo vaaqia aankhon mein ashk bhar ke kahaa kuchh na puchhiye"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"jab se huaa hai ishq tire ism-e-zaat kaa aankhon mein phir rahaa hai muraqqaa najaat kaa maalik hi ke sukhan mein talavvun jo paaiye kahiye yaqin laaiye phir kis ki baat kaa daftar hamaari umr kaa dekhoge jab kabhi fauran use karoge muraqqaa najaat kaa ulfat mein mar miTe hain to puchhe hi jaaeinge ik roz lutf uThaaeinge is vaardaat kaa surkhi ki khatt-e-shauq mein haajat jahaan hui khun-e-jigar mein nok Duboyaa davaat kaa mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa ai sham-e-bazm-e-yaar vo parvaana kaun thaa lau mein tiri ye daagh hai jis ki vafaat kaa mujh se to lan-taraaniyaan us ne kabhi na kiin muusi javaab de na sake jis ki baat kaa is be-khudi kaa deinge khudaa ko vo kyaa javaab dam bharte hain jo chand nafas ke hubaab kaa qudsi hue mutia vo taaat bashar ne ki kul ikhtiyaar haq ne diyaa kaaenaat kaa aisaa itaab-naama to dekhaa sunaa nahin aayaa hai kis ke vaaste suura baraat kaa zi-ruh mujh ko tu ne kiyaa musht-e-khaak se banda rahungaa main tire is iltifaat kaa naachiz huun magar main huun un kaa fasaana-go quraan hamd-naama hai jin ki sifaat kaa royaa hai meraa dida-e-tar kis shahid ko mashhur ho gayaa hai jo chashma furaat kaa aae to aae aalam-e-arvaah se vahaan dam bhar jahaan nahin hai bharosaa sabaat kaa dhuum us ke husn ki hai do-aalam mein ai 'shraf' khurshid roz kaa hai vo mahtaab raat kaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kyaa karun lailaa ke naa-pasand ho mahmil to kyaa karun Thahre na khun-bahaa su-e-qaatil to kyaa karun haq ho jo khud-bakhud miraa baatil to kyaa karun ik rang ko jahaan mein nahin koi maantaa har rang mein rahun na main shaamil to yaa karun pisvaaun be-gunaah jo dil ko hinaa ke saath pursaan-e-haal ho koi aadil to kyaa karun parvaana hone ki bhi ijaazat nahin mujhe aalam-fareb hai tiri mahfil to kyaa karun jaataa gulu-burida bhi uD kar gulon ke paas baazu gayaa hai toD ke bismil to kyaa karun laila ye kah ke jalva dikhaati hai qais ko uDne lage jo parda-e-mahmil to kyaa karun khud chaahtaa huun zabt karun dard-e-shauq main dil hi miraa na ho mutahammil to kyaa karun munh chuum luun ki gird phirun dauD dauD ke ai dil jo haath rok le qaatil to kyaa karun dam raah-e-shauq-o-zauq mein letaa nahin kahin is par bhi tai na ho jo ye manzil to kyaa karun kyun-kar na jabr dil pe karun apne ikhtiyaar raahat mein aa paDe koi mushkil to kyaa karun ik ik se puchhte hain vo aaina dekh kar maashuq paaun pyaar ke qaabil to kyaa karun de duun main raah-e-ishq mein jaan us ke naam par naa-chaar huun na ho koi saail to kyaa karun Taanke jigar ke zakhm mein kyunkar lagaane duun gul tere baagh kaa ho muqaabil to kyaa karun aane ko manaa karte ho achchhaa na aaungaa ye to kaho na maane miraa dil to kyaa karun shaayad mujhe jamaal dikhaa de vo ai kalim nazzaare kaa na huun mutahammil to kyaa karun mar jaaun Duub kar 'sharaf' us paar yaar hai kashti na ho koi lab-e-saahil to kyaa karun"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"tiri havas mein jo dil se puchhaa nikal ke ghar se kidhar ko chaliye taDap ke bolaa jidhar vo nikle shitaab usi rahguzar ko chaliye na chaahiye kuchh adam ko le kar nikaliye hasti se jaan de kar safar jo liije rah-e-khudaa mein luTaa ke zaad-e-safar ko chaliye azal se us kaa hi aasraa hai jo dene vaalaa muraadon kaa hai baraae-fil-faur umid-e-dil ko jo chumne us ke dar ko chaliye idhar to taqdir so rahi hai udhar vo naabud ho rahi hai visaal ki shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sahar ko chaliye jo haath ik phuul ko lagaaein yaqin hai kaanTon mein khinche jaaein hamaare haq mein vo hove hanzal jo nosh karne samar ko chaliye ajiib mushkil hai aah ai dil kaThin hai bim-o-rajaa ki manzil qadam qadam par ye sochte hain kidhar na chaliye kidhar ko chaliye tiri judaai mein jaan-e-aalam kiyaa hai donon ko gham ne be-dam banaaiye jaa ke dil ki turbat ki dafn karne jigar ko chaliye huaa hai vo shauq-e-did-baazi ki samjhein is ko bhi sarfaraazi bulaaein aankhein vo phoDne ko to nazr karne nazar ko chaliye visaal ki shab guzar gai hai jo aarzu thi vo mar gai hai hamein to hichki lagi hui hai vo fikr mein hain ki ghar ko chaliye ye qaaf se qaaf tak hai shohrat kareinge vo imtihaan-e-vahshat junun kaa aalam ye kah rahaa hai yahin se Takraate sar ko chaliye jo subh-e-piri hui huvaidaa sadaa adam se hui ye paidaa namaaz paDh ke na ab Thahariye savere kasiye kamar ko chaliye luTaa hai gulshan mein aashiyaana kahin hamaaraa nahin Thikaanaa qafas se chhuT kar bhaDak rahe hain ki tinke chunane kidhar ko chaliye kami na dard-e-jigar mein hogi ye ham se aisi ne guftugu ki davaa ko phir DhunDiyegaa pahle talaash karne asar ko chaliye hamesha har saans ne hamaari shab-e-judaai mein aarzu ki kisi tarah se tire chaman mein nasim ho kar sahar ko chaliye charaagh-e-bazm-e-khudaa huaa hai khudaa ne mahbub use kahaa hai ye shaam se lau lagi hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye hamaaraa aansu vo be-bahaa hai nigaah-e-hasrat mein jach rahaa hai mangaa ke ab us pe chaurahe mein nisaar karne guhar ko chaliye su-e-falak kiije ru-e-taabaan ki chaudhvin shab pe hai ye naazaan dikhaa ke husn-e-shabaab apnaa chakor karne qamar ko chaliye kisi tarah se na hone paae hamaare naalon kaa faash parda agarche shor-e-fughaan kaa apne sharik karne gajar ko chaliye 'sharaf' jo ham un pe jaan deinge khabar hamaari lahad mein leinge hilaa ke shaana jalaa ke ham ko kaheinge uThiye bhi ghar ko chaliye"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"darpesh ajal hai ganj-e-shahidaan kharidiye turbat ke vaaste chamanistaan kharidiye saudaa pukaartaa hai ye fasl-e-bahaar mein gulshan na mol lijiye zindaan kharidiye baazaar mein ye karti hain ghul meri beDiyaan sohan hamaare kaaTne ko yaan kharidiye raft-o-guzasht bhi huaa vahshat kaa valvala sozan baraae-chaak-e-garebaan kharidiye le lijiye miraa dil-e-sad-chaak muft hai shaana baraae-zulf-e-pareshaan kharidiye baazaar-e-mustafaa hai kharidaar hai khudaa khud bikye yaan na kuchh kisi unvaan kharidiye jis vaqt jaa nikalte hain baazaar-e-husn mein himmat ye kahti hai ki paristaan kharidiye hulla koi mangaaiye jaan di hai aap par khilat hamaare vaaste ai jaan kharidiye turbat pe meri hogi takalluf ki raushni kaafur bahr-e-sham-e-shabistaan kharidiye karte hain shor ganj-e-shahidaan mein gul-farosh chaadar baraae-gor-e-gharibaan kharidiye vahshat mein mushk ki na rasad muft lijiye saudaa hai bu-e-kaakul-e-pechaan kharidiye hotaa hai shauq-e-ishq mein rah rah ke valvala majnun se daagh-e-dil sar-e-maidaan kharidiye har-su amal junun ke qalam-rau mein chaahiye DhunDvaa ke ek ek bayaabaan kharidiye hote hain jazb-e-ishq se pariyon ke jamghaTe ik mulk misl-e-mulk-e-sulaimaan kharidiye chaurang khelne mein harifon ke ai 'sharaf' bachiye to tegh-e-rustam-e-dastaan kharidiye"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"paayaa tire kushton ne jo maidaan-e-bayaabaan shaan-e-chaman-e-khuld hui shaan-e-bayaabaan divaana tiraa mar ke huaa zinda-e-jaaved ruuh us ki jo nikli to hui jaan-e-bayaabaan mujh saa bhi jahaan mein koi saudaai na hogaa samjhaa lahad-e-qais ko aivaan-e-bayaabaan viraana-nashini hai azal se miri jaagir qismat ne diyaa hai mujhe farmaan-e-bayaabaan vahshat pe miri aahuon ke bahte hain aansu hairat pe miri rote hain haivaan-e-bayaabaan hai aalam-e-hu turbat-e-majnun kaa mujaavar sannaaTe kaa aalam hai nigahbaan-e-bayaabaan jis roz mire hosh ke ham-raah uDeinge dam toD ke mar jaaeinge murghaan-e-bayaabaan ik din hi ye mauquf huaa khaak kaa uDnaa kyaa kyaa na kiyaa qais ne saamaan-e-bayaabaan parvaa na thi basti ki na thi yaad vatan ki allaah re mad-hoshi-o-nisyaan-e-bayaabaan rahte hain mire gird pari-zaad hazaaron huun aalam-e-vahshat mein sulaimaan-e-bayaabaan lailaa pe jo aalam hai to majnun bhi hai khush-ru vo hur-e-bayaabaan hai vo ghilmaan-e-bayaabaan is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabaahi barbaadi hui dast-o-garebaan-e-bayaabaan afsos hai is najd ko majnun ne basaayaa lailaa jise kahti hai bayaabaan-e-bayaabaan dil khol ke ji chaahtaa hai khaak uDaaun phirne ko milaa hai mujhe maidaan-e-bayaabaan jis din se bani hai tire divaane ki turbat hote hain pari-zaad bhi qurbaan-e-bayaabaan sheron ke hilaa Daale hain dil us ke junun ne majnun hai ki hai rustam-e-dastaan-e-bayaabaan jis vaqt 'sharaf' lailaa o majnun ne qazaa ki ik ghul huaa rukhsat hue mehmaan-e-bayaabaan"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"jo saamnaa bhi kabhi yaar-e-khub-ru se huaa zamaane bhar kaa yurish mujh pe chaar su se huaa kahaa ishaaron se main ne ki tum pe martaa huun jo nutq band miraa un ki guftugu se huaa kisi ko bhi na havas thi halaal hone ki rivaaj-e-shauq-e-shahaadat mire gulu se huaa jidhar nigaah ki jalva tiraa nazar aayaa kamaal-e-kashf mujhe teri aarzu se huaa khulaa na haal kisi par ki kyaa mizaaj mein hai khudaai mein koi vaaqif na us ki khu se huaa ajab ghaDi se garebaan phaTaa thaa majnun kaa tamaam umr na vaaqif kabhi rafu se huaa baDe-baDon ko lagaayaa na munh kabhi main ne vo zarf huun ki na vaaqif kabhi subu se huaa vo khud bhi kar gae tar aansuon se turbat ko gali mein yaar ki madfun is aabru se huaa bahaar-e-baagh ko aae jo dekhne be-yaar dimaagh aur pareshaan gulon ki bu se huaa chaDhaae gor-e-gharibaan pe gul jo us gul ne chaman bahisht kaa paidaa maqaam-e-hu se huaa halaal hone ko sayyaad se mohabbat ki qazaa jo aai to maanus main adu se huaa khudaai karne lagaa yaar be-niyaazi se baDaa ghurur use meri aarzu se huaa jahaan se mahfil-e-mearaaj mein hui talabi bashar kaa martaba ye us ki justuju se huaa lagaate hain jo sab aankhon se aab-e-zamzam ko 'sharaf' ye faiz kaa chashma miri vazu se huaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"jashn thaa aish-o-tarab ki intihaa thi main na thaa yaar ke pahlu mein khaali meri jaa thi main na thaa us ne kab barkhaast ai dil mahfil-e-mearaaj ki kis se puchhun raat kam thi yaa savaa thi mein na thaa main taDap kar mar gayaa dekhaa na us ne jhaank kar us sitamgar ko aziiz apni hayaa thi main na thaa vaada le letaa ki khilvaana na mujh ko Thokarein aalam-e-arvaah mein jis jaa qazaa thi main na thaa sarf kartaa kis khushi se jaa ke us mein apni khaak kyaa kahun jis din banaai karbalaa thi main na thaa munh na khul saktaa na hote ham-kalaam un se kalim umr bhar hasrat hi rahti baat kyaa thi main na thaa le gai thi mujh ko hasrat jaanib-e-khud-raftagi jis taraf ko manzil-e-bim-o-rajaa thi main na thaa dil ulaT jaataa miraa yaa dam nikal jaataa miraa shukr hai jab lan-taraani ki sadaa thi main na thaa laala-o-gul ko bachaa letaa khizaan se ai 'sharaf' baagh mein jis vaqt naazil ye balaa thi main na thaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"khudaa-maalum kis ki chaand se tasvir miTTi ki jo goristaan mein hasrat hai garebaan-gir miTTi ki navaazi sarfaraazi ruuh ne tasvir miTTi ki khushaa-taale khushaa-qismat khushaa-taqdir miTTi ki haqiqat mein ajaaib-shobada-pardaaz-e-duniyaa hai ki jo insaan ki surat thaa vo hai tasvir miTTi ki jise ruuyaa mein dekhaa thaa milaayaa khaak mein us ne muqaddar ne hamaare khvaab ki taabir miTTi ki mazaaron mein dikhaa kar ustukhaan hasrat ye kahti hai koi pursaan nahin un kaa ye hai tauqir miTTi ki ye naahaq barhami hai khaaksaaron ke ghubaaron se kharaabi aandhiyon ne ki hai be-taqsir miTTi ki vo vahshi thaa ki mar ke bhi na maidaan-e-junun chhuTaa miri mayyat rahi sahraa mein daaman-gir miTTi ki na li turbat ko gulshan mein jagah li bhi to sahraa mein riyaazat sab hamaari tu ne ai taqdir miTTi ki mire sayyaad ne jis jis jagah tuuda banaayaa thaa vahaan jaa jaa ke bu lete phire nakhchir miTTi ki azal ke roz se ghash hain jo insaan khaaksaari par sarisht un ki hai miTTi se ye hai taasir miTTi ki ye aalam ho gayaa hai jamte jamte gard-e-sahraai ki majnun puchhtaa hai kyaa ye hai zanjir miTTi ki hamaare khaak ke tuude ko naabud aa ke kar deinge nishaani bhi na chhoDeinge tumhaare tiir miTTi ki ijaazat se tumhaari guftugu ki sang-rezo ne baraabar sunne vaalon ne suni taqrir miTTi ki gali mein yaar ki aise hue ho gard-aaluda ki bilkul ho gae ho ai 'sharaf' tasvir miTTi ki"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"hue aise ba-dil tire shefta ham dil-o-jaan ko hamesha nisaar kiyaa rah-e-'ishq se phir na haTaae qadam rahe mahv tire tujhe pyaar kiyaa tire shauq mein dil ki tabaahi hui tire zauq ki us pe gavaahi hui koi dam bhi na lene diyaa mujhe dam mujhe dushman-e-sabr-o-qaraar kiyaa gai jaan qafas mein baraa-e-chaman chali le ke jahaan se havaa-e-chaman kabhi abr-e-karam ne kiyaa na karam na kisi ne bayaan-e-bahaar kiyaa jahaan mahke mahak gayaa saaraa jahaan bhalaa 'itr ko bu ye nasib kahaan ba-khudaa hi khataa kahein mushk-bu ham tiri zulf pe sadqe nisaar kiyaa na lo 'ishq kaa naam ye kahte ho kyaa jo ho tegh-tale bhi hamaaraa galaa yahi ham kahe jaaein khudaa ki qasam tumhein pyaar kiyaa tumhein pyaar kiyaa tire haath se main jo shahid huaa miri ruuh kaa 'ishq murid huaa jo hayaat rahaa to na chhoDe qadam jo maraa to tavaaf-e-mazaar kiyaa tire shauq ne ham ko jo khaak kiyaa tire zauq ne khaak se paak kiyaa tire rang ne mujh pe kiyaa ye karam mujhe tere chaman kaa ghubaar kiyaa tire tir-e-hadaf ki havas thi mujhe baDi hasrat-e-kunj-e-nafas thi mujhe mujhe chuuk kiyaa ye ghazab ye sitam na asiir kiyaa na shikaar kiyaa tujhe chaahaa to rang ye miT ke jame tire baagh mein khaak se paak hue mare tere chaman ki havas mein jo ham to ghubaar ko abr-e-bahaar kiyaa na 'adam ki jo mujh ko savaari mili koi takht-e-ravaan na amaari mili kai doston ne mire ho ke baham mujhe dosh par apni savaar kiyaa hamein is ki kahin se khabar na mili hui 'umr tamaam magar na mili kabhi us ne bhi haal kiyaa na raqam khat-e-shauq ravaana hazaar kiyaa tire roz-e-azal se farefta hain tire husn-o-jamaal ke shefta hain tire 'ishq mein ho gae kushta-e-gham vahi kar gae qaul jo yaar kiyaa tire bas mein jo aae to khaak hue jo ghubaar hue bhi to khaak hue rahe baad-e-fanaa bhi na chain se ham hamein gardish-e-lail-o-nahaar kiyaa kabhi sair-e-chaman kaa na shauq huaa kisi bazm kaa ham ko na zauq huaa tire kuche ko jaan ke baagh-e-iram yahin bulbul-e-jaan ko nisaar kiyaa jise chaahaa dil us pe nisaar karein kabhi god mein lein kabhi pyaar karein ye buraai nasib ki vaae-sitam vo harif huaa jise pyaar kiyaa mujhe yaar ne aa ke jo dekhaa hazin kahaa roe ho main ne kahaa ki nahin vo kahe gae aankhon pe kyuun hai varam 'sharaf' un se bahaana hazaar kiyaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"naahaq o haq kaa unhein khauf-o-khatar kuchh bhi nahin be-khabar hain vo zamaane ki khabar kuchh bhi nahin dhuum hi dhuum thi madfan ki magar kuchh bhi nahin khaak is ghar mein basar hogi ye ghar kuchh bhi nahin haae afsos hui kaun si sohbat barkhaast shab ko mearaaj mein the vaqt-e-sahar kuchh bhi nahin kah rahi hai ye mare dil se mohabbat us ki huun to iksir magar mujh mein asar kuchh bhi nahin aa rahi hai ye sadaa gor ke sannaaTe se main vo aalam huun jahaan shaam-o-sahar kuchh bhi nahin is nazaakat se to main kaahe ko bismil hungaa tum chhuri pherte ho mujh ko khabar kuchh bhi nahin haatif-e-ishq to kahtaa hai idhar sab kuchh hai aalam-e-yaas ye kahtaa hai udhar kuchh bhi nahin aankh phir jaati hai maashuqon ki maayuson se gham-zada kuchh nahin hasrat ki nazar kuchh bhi nahin turbat-e-qais se kahti hai lipaT kar lailaa ham taDapte hain paDe tum ko khabar kuchh bhi nahin manzil-e-gor mein kyaa jaaniye kyaa guzregi taaza vaarid hain abhi ham ko khabar kuchh bhi nahin lan-taraani ki jo taakid hai ai dil ye khulaa baab-e-didaar mein manzur-e-nazar kuchh bhi nahin khvaab dekhaa thaa ki thaa vasl ki shab kaa saamaan jashn thaa raat ko hangaam-e-sahar kuchh bhi nahin us ko gahri ise ye ochhi chhuri vaah ai yaar zakhm-e-dil ghaav huaa zakhm-e-jigar kuchh bhi nahin rishta-e-jaan se bhi naazuk hai vo baariki mein gul ki rag phir hai gudaaz us ki kamar kuchh bhi nahin qabr mein huron ke aane kaa uThaaein kyaa lutf diida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhi nahin raas aa jaaegi jis ko vo use chaaheinge phir mohabbat mein sabhi kuchh hai agar kuchh bhi nahin mutmain huun rah-e-isyaan mein tiri rahmat se vo musaafir huun ki tashvish-e-safar kuchh bhi nahin ai 'sharaf' hai gul-e-maqsud ke har-su bauchhaar vaah ai khubi-e-qismat ki idhar kuchh bhi nahin"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"tir-e-nazar se chhid ke dil-afgaar hi rahaa naasur us mein surat-e-sofaar hi rahaa duniyaa se hai niraali adaalat hasinon ki fariyaad jis ne ki vo gunahgaar hi rahaa saudaaiyon ki bhiiD koi dam na kam hui har vaqt ghar mein yaar ke baazaar hi rahaa nargis jo us masih ki nazron se gir gai achchhe na phir hue use aazaar hi rahaa gulzaar mein hamesha kiye ham ne chahchahe sayyaad o baaghbaan ko sadaa khaar hi rahaa aai na dekhne mein bhi tasvir yaar ki aaina darmiyaan mein divaar hi rahaa surme se tuur ke bhi na kuchh faaeda huaa aankhon ko intizaar kaa aazaar hi rahaa majnun ne meraa daagh-e-jigar sar pe rakh liyaa ye gul vo hai jo turra-e-dastaar hi rahaa kuchh bhi na mufsidon ki darandaaziyaan chalin ik uns mujh se un se jo thaa pyaar hi rahaa bole vo meri qabr jharoke se jhaank kar ye shakhs mar ke bhi pas-e-divaar hi rahaa mumkin na phir hui qafas-e-gor se najaat jo is mein phans gayaa vo giraftaar hi rahaa aalam mein husn-o-ishq kaa afsaana rah gayaa yusuf hi rah gae na kharidaar hi rahaa sayyaad ko kabhi na musibat ne di najaat bulbul ke sabr mein ye giraftaar hi rahaa kyaa jaane us gharib ko kis ki nazar hui un ankhDiyon kaa shefta bimaar hi rahaa tu rah gayaa faqat tire saudaai rah gae yusuf rahe na misr kaa baazaar hi rahaa raahat kisi hasin se bhi paai na ai 'sharaf' chaahaa jise vo dar-pae-aazaar hi rahaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"chaahiyein mujh ko nahin zarrin qafas ki putliyaan aashiyaan jaanun jo hovein khaar-o-khas ki putliyaan ho gaiin be-rang jab agle baras ki putliyaan khuun ro kar ham ne kiin rangin qafas ki putliyaan hai ye faulaadi qafas mujh naa-tavaan kaa kyaa karun kis tarah toDun nahin hain mere bas ki putliyaan kyaa khudaa ki shaan hai aati hai jab fasl-e-bahaar sab hari ho jaati hain mere qafas ki putliyaan jab kabhi kunj-e-qafas mein ki hai main ne aah-e-garm mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyaan ghar qafas ko main samajhtaa huun asiri ko muraad jaantaa huun apni aahon ko havas ki putliyaan paTriyaan mere qafas ki shaakh-e-gul se kam nahin loch ye dekhaa na dekhin aisi ras ki putliyaan gunjne lagtaa hai ye bhi jab fughaan kartaa huun main nasb hain mere qafas mein kyaa jaras ki putliyaan dekhiye shauq-e-asiri mein jakaDne ke liye ho gaiin resham kaa lachchhaa sab qafas ki putliyaan ro rahi hai dekh kar lailaa jo us ko ai 'sharaf' pasliyaan majnun ki hain mere qafas ki putliyaan"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"ilaahi khair jo shar vaan nahin to yaan bhi nahin taammul is mein agar vaan nahin to yaan bhi nahin kuchh un ghar se nahin kam hamaaraa khaana-e-dil jo aadmi kaa guzar vaan nahin to yaan bhi nahin vo jaan lete hain ham un pe jaan dete hain nasihaton kaa asar vaan nahin to yaan bhi nahin mare miTeinge ham ai dil yahi jo chashmak hai safaai madd-e-nazar vaan nahin to yaan bhi nahin karegaa naaz taDapne mein ham se kyaa bismil kami-e-dard-e-jigar vaan nahin to yaan bhi nahin vo tegh-zan hain to ham bhi jigar pe rokeingi jo ehtiyaaj-e-sipar vaan nahin to yaan bhi nahin vo be-khabar hain jahaan se to ham hain khud-rafta zamaane ki jo khabar vaan nahin to yaan bhi nahin khajil hain gaalon se un ke hamaare daaghon se farogh-e-shams-o-qamar vaan nahin to yaan bhi nahin tum aaine mein ye kis naaznin se kahte the baghaur dekh kamar vaan nahin to yaan bhi nahin shab-e-mazaar se kuchh kam nahin hai shaam-e-firaaq agar asir-e-sahar vaan nahin to yaan bhi nahin vo gaali deinge to bosa 'sharaf' main le lungaa lihaaz-e-paas agar vaan nahin to yaan bhi nahin"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"vo rangat tu ne ai gul-ru nikaali nichhaavar ko gulon ne bu nikaali mizaaj-e-bu-e-sumbul kar ke mauquf sabaa nai nikhat-e-gesu nikaali na thi jaane ki us tak raah dil ki chhuri se chiir ke pahlu nikaali nikaasi jab na dekhi yaas dil ki bahaa ke aaTh aaTh aansu nikaali hamaari ruuh ik rashk-e-chaman ne sunghaa ke phuul ki khushbu nikaali mire sayyaad ne bulbul ki mayyat qafas se toD ke baazu nikaali kiyaa us se jo khush-chashmi kaa daavaa tiri jaaegi aankh aahu nikaali sulaimaani dikhaa di shaan tum ne pari-ru maang vo khush-ru nikaali nikaalaa husn kaa armaan tu ne miri hasrat na ai dil-ju nikaali chaman mein bhini bhini bu ne un ki na basne di gai shabbu nikaali dahaan-e-zakhm se talvaar chumi ba-shakl-e-bosaa-e-abru nikaali qayaamat kaa shabaab us ne nikaalaa 'sharaf' changez-khaani khu nikaali"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"javaani aai muraad par jab umang jaati rahi bashar ki nasib hote hi chaudhvin shab shikoh rukhsat hui qamar ki vo shokh chitvan thi kis sitam ki ki jis ne chashmak kahin na kam ki kisi taraf ko jo barq chamki to samjhe gardish use nazar ki tiraa hi duniyaa mein hai fasaana tiraa hi shaidaai hai zamaana tire hi gham mein huiin ravaana nikal ke ruhein khudaai bhar ki na aasmaan hai na vo zamin hai makaan nahin vo jahaan makin hai payambaron kaa guzar nahin hai rasaai hai mere naama-bar ki khinchaa jo tul-e-shab-e-judaai andheri madfan ki yaad aai nigaah o dil par vo yaas chhaai umiid jaati rahi sahar ki jo ishq-baazon ko aazmaayaa lagaa ke chhuriyaan ye qahr Dhaayaa yahaan yahaan tak lahu bahaayaa ki naubat aai kamar kamar ki gire jo kuchh surkh gul zamin par kahaa ye bulbul ne khaak uDaa kar huaa hai vaada miraa baraabar ye suratein hain mire jigar ki maqaam-e-ibrat hai aah ai dil khudaa hi ki hai panaah ai dil nahin hai kuchh zaad-e-raah ai dil adam se taakid hai safar ki ye ham ne kaisaa safar kiyaa hai musaafiron ko rulaa diyaa hai ajal ne aaghosh mein liyaa hai khabar bhi ham ko nahin safar ki vo jald yaa-rab inhin ko taake lagaa de do tiir in par aa ke ye donon rah jaaein phaDphaDaa ke main dekhun laashein dil o jigar ki kisi kaa maashuq chhuTtaa hai sahar kaa vaqt us ko luTtaa hai koi ye siine ko kuTtaa hai nahin hai aavaaz ye gajar ki khichaa hai zartaar shaamiyaana gulon se aati hai bu shahaana dikhaa ke qudrat kaa kaarkhaana lahad ne hasrat bhulaa di ghar ki ghashi kaa aalam vo zor par hai mizaaj-e-sehhat se be-khabar hai davaa kaa ghaflat-zada asar hai khabar davaa ko nahin asar ki shabaab ne khud-numaa banaayaa ye naaz-e-khushrui ne jataayaa hayaa mein jis vaqt farq aayaa to un ke mukhDe se zulf sarki huaa huun chaurang tegh-e-hasrat ki dafn ki hai miri ye surat kisi taraf ko hai dil ki turbat kahin hai turbat mire jigar ki jo us ne zid ki to aafat aai duhaai dene lagi khudaai qayaamat us bevafaa ne Dhaai idhar ki duniyaa 'sharaf' udhar ki"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"fasl-e-gul mein hai iraada su-e-sahraa apnaa rang kyaa dekhiye dikhlaataa hai saudaa apnaa ishq mein ham jo miTaate hain kisi ko kyaa kaam jaan apni hai dil apnaa hai kaleja apnaa aah ham karte hain ai yaar ke mahfil vaalo donon haathon se jigar thaam lo apnaa apnaa puchhte kyaa ho judaai mein jo guzri guzri tum ko maalum hai sab haal kahein kyaa apnaa koi mushtaaq rahaa jalva kisi ne dekhaa is ko kyaa kijiye maqsum hai apnaa apnaa zindagi shart hai kyaa dard-e-jigar se hogaa apne haq mein to dam apnaa hai masihaa apnaa kaam aayaa amal-e-nek miraa turbat mein lillaahil-hamd ki ik dost to niklaa apnaa puchhte hain jo koi naam miraa letaa hai jaante hain vo mujhe aashiq-e-shaidaa apnaa najd mein dard-e-jigar qais bayaan kartaa hai khuub hi roegi dil thaam ke lailaa apnaa shahr se bhaagte hain dasht mein ghabraate hain dil bahaltaa hi nahin ab to kisi jaa apnaa eDiyaan mujh se ragaDvaaegi majnun ki tarah naam rakkhaa hai shab-e-vasl ne lailaa apnaa ai 'sharaf' khair to hai haal hai kyuun sakte kaa aaina le ke zaraa dekho to chehraa apnaa"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"rang jin ke miT gae hain un mein yaar aane ko hai dhuum hai pazhmurda phulon mein bahaar aane ko hai yaar kuche mein tire dhuni ramaane ke liye gham-zada hasrat-zada ik khaaksaar aane ko hai rahm karnaa ab ki meri aankh khulne ki nahin aakhiri ghash mujh ko ai parvardigaar aane ko hai koi dam mein hashr hogaa kuchh khabar bhi hai tumhein be-qaraari laati hai ik be-qaraar aane ko hai bhaage jaate hain bagule kaanptaa hai najd-e-qais khaak uDi kis ki yahaan kis kaa ghubaar aane ko hai hosh uDe jaate hain yaaro ruuh hai sahmi hui said-gaah-e-ishq se kis kaa shikaar aane ko hai jaan-e-jaan tu kiijo jaan-bakhshi ki tujh ko dekhne ek be-kas be-khud o be-ikhtiyaar aane ko hai dard-e-tanhaai se chhuDaataa hai aalam nazaa kaa be-qaraari kuuch karti hai qaraar aane ko hai gul-rukhon ki bazm mein jaane ko hai meraa ghubaar peshvaai ke liye abr-e-bahaar aane ko hai ab miri aankhon ko hogaa valvala didaar kaa hasrat in mein aa chuki hai intizaar aane ko hai hogi ab aaraasta turbat shahid-e-naaz ki chaadar-e-gul bichhti hai sham-e-mazaar aane ko hai be-vafaa tum baa-vafaa main dekhiye hotaa hai kyaa ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai ghuncha-o-gul kar rahi hain kyuun garebaan chaak chaak kaun se rashk-e-chaman kaa dil-figaar aane ko hai hijr mein dam ghuTne ko hai kuuch hai tafrih kaa saans rukne ko hai hichki chand baar aane ko hai baiThi hai lailaa garebaan phaaDne ke vaaste kis ke majnun kaa libaas-e-taar-taar aane ko hai ghash se chaunko aankh kholo dam na toDo ai 'sharaf' shukr kaa sajda karo uTh baiTho yaar aane ko hai"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"aag lagaa di pahle gulon ne baagh mein vo shaadaabi ki aai khizaan gulzaar mein jab gul-barg se gulkhan-taabi ki kunj-e-lahad mein mujh ko sulaa ke puchhte hain vo logon se niind unhein ab aa gai kyun-kar kyaa hui jo bad-khvaabi ki soch mein hain kuchh paas nahin kis tarah adam tak pahuncheinge aa ke safar darpesh huaa hai fikr hai be-asbaabi ki abr hai giryaan kis ke liye malbus siyah hai kyuun is kaa sog-nashin kis kaa hai falak kyaa vajh abaa-e-aabi ki zer-e-mahal us shokh ke jaa ke paanv jo ham ne phailaae sharm-o-hayaa ne uThne na di chilman jo chhuTi mahtaabi ki dil kaa Thikaanaa kyaa main bataaun haal na is kaa kuchh puchho duur karo hogaa vo kahin galiyon mein aur sai har baabi ki dil na huaa pahle jo bismil loTne se kyaa matlab thaa dhuum thi jab khush-baashiyon ki ab shohrat hai betaabi ki shamon kaa aakhir haal ye pahunchaa sabr paDaa parvaanon kaa kavve uThaa ke le gae din ko paai sazaa sartaabi ki ghunche khajil hain zikr se us ke tang dahan hai aisaa us kaa naam huaa unaqaa-e-zamaana dhuum uDi naayaabi ki bajre lagaae logon ne laa ke un ke baraamad hone ko ashkon ne mere raah-e-vafaa mein aaj to vo sailaabi ki khat nahin paDtaa mere gale par tishna-e-hasrat martaa huun tegh tiri be-aab hui thiin aarzuein khush-aabi ki rahm hai laazim tujh ko bhi gulchin dil na dukhaa tu bulbul kaa nikhat-e-gul ne us se kashish ki taab na thi betaabi ki nazaa mein yaa-rab khanda-jabin huun ruuh jo nikle khush nikle pesh-e-nazar aaein jo farishte surat ho aaraabi ki kalghi ki jaa par taaj mein rakh le zauq rahe paa-bosi kaa paae agar bilqis kahin tasvir tiri gurgaabi ki paDh ke vazifa ishq kaa us ke tum jo taDap ke rote ho ruuh na ho tahlil 'sharaf' hasrat se kisi vahaabi ki"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"rahaa karte hain yuun 'ushshaaq teri yaad o hasrat mein base rahte hain jaise phuul apni apni nikhat mein khichaa husn-e-vafaa ho kar jo ye tasvir-e-vahdat mein khudaa kaa nuur shaamil ho gayaa insaan ki surat mein nahin hai lazzat-e-duniyaa o maa-fihaa jo qismat mein khudaa-maalum hissa hai miraa kis khvaan-e-neamat mein safaai-rukh baDhi aisi huaa aaina hairat mein javaani mein nazar aane lagaa munh us ki surat mein phalun phulungaa main duniyaa se jaa kar baagh-e-jannat mein azal se parvarish hotaa huun main gulzaar-e-rahmat mein mahall-e-ishq mein jo khuun mushtaaqon kaa bahtaa hai huaa karti hain rang-aameziyaan us ki 'imaarat mein karo aisi adaaein ham se ham tasvir ho jaaein rahein ham aur tum ik jaan do qaalib ho ke khalvat mein mili hai meri qismat se mujhe ne'mat tavakkul ki jo marghub-e-khudaa hain vo maze hain us ki lazzat mein khudaai vajd karti hai jahaan main chachahaataa huun hazaaron mein huun ik bulbul tire gulzaar-e-qudrat mein namaaz-e-panjgaana mein bhi har jaa zikr usi kaa hai tashahhud mein azaan mein sajde mein niyyat mein rak'at mein machal jaane pe us naa-fahm ke rahm us ko aayaa hai liyaa hai mere tifl-e-ashk ko daamaan-e-rahmat mein dil-aazaari kaa ham-surat se apne mashvara leinge ilaahi khair aaina talab hotaa hai khalvat mein mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhein DabDabaati hain khudaa jaane ki dam niklaa hai un kaa kis ki hasrat mein"
A
Agha Hajju Sharaf
Quote
"talaash-e-qabr mein yuun ghar se ham nikal ke chale kafan baghal mein liyaa munh pe khaak mal ke chale havaa khilaani thi duniyaa ki meri mayyat ko uThaane vaale jo kaandhaa badal badal ke chale jagah na di hamein us shama-ru ne pahlu mein havas bujhaane ko aae the aur jal ke chale uThaa ke bazm se ham le chale jo khalvat mein qadam qadam pe vo ruThe machal machal ke chale yahaan tak aae hain tai ham do-manzila kar ke tumhaari bazm mein pahunche hain aaj-kal ke chale shahid-e-naaz ki mayyat jo dekhi gul-dar-gul kafan khasuT jo aae the haath mal ke chale kamand-e-kaakul-e-pechaan se duur duur rahe qazaa Tale jo 'sharaf' us balaa se Tal ke chal"
A
Agha Hajju Sharaf