Quote
"aamaada rakkhein chashm-o-dil saamaan-e-hairaani karein kyaa jaaniye kis vaqt vo nazaara farmaani karein bahr-e-balaa hai mauj par qahr-e-qazaa hai auj par hain kaah-e-saamaan mustaid taa naa-gurezaani karein aai hai raat aisi dani hai har charaagh afsurdani ai dil bayaa ai dil bayaa kuchh shoala-saamaani karein haan haan dikhaaeinge zarur ham vahshat-e-dil kaa vafur pahle ye shahr-e-dasht-o-dar takmil-e-viraani karein ai aashiqaan ai aashiqaan aayaa hai amar-e-naa-gahaan jo log hain nazaara ju vo mashq-e-hairaani karein vo shama hai dar-e-taaq-e-dil raushan hain sab aafaaq-e-dil uftaadgaan-e-khaak uTho aflaak gardaani karein hai bas-ki tegh us ki ravaan kamyaab hain naa-kustagaan sab sarfaroshon se kaho chande faraavaani karein ik naasihaanaa arz hai dariyaaon par ye farz hai dil ki tarah har lahar mein tajdid-e-tughyaani karein aise gharon mein ahl-e-dil rahte nahin hain mustaqil tabdil ye divaar-o-dar uslub-e-viraani karein"







