Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Alqama Shibli
ye kyaa ki faqat apni hi tasvir banaao
ai naqsh-garo vusat-e-fan kuchh to dikhaao
khultaa nahin kyaa laala-o-gul soch rahe hain
kuchh tum hi kaho fasl-e-bahaaraan ki havaao
· · ·
Alqama Shibli
choT phulon ki chhaDi se bhi na kyon dil par lage
shahr mein har aadmi jab dard kaa paikar lage
kaar-gaah-e-zindagi goyaa hai dasht-e-karbalaa
raaste mein jis taraf bhi jaaiye Thokar lage
· · ·
Alqama Shibli
mujh ko auron se koi shikva nahin
main ne bhi to khud ko pahchaanaa nahin
sar pe aa pahunchaa hai suraj karb kaa
saath apne saaya bhi apnaa nahin
· · ·
Alqama Shibli
main ne aaj ek tamaashaa dekhaa
saaghar-e-chashm mein dariyaa dekhaa
raat ik khvaab niraalaa dekhaa
dosh par apnaa janaaza dekhaa
· · ·
Alqama Shibli
junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi denaa
khudi bhi jis pe ho qurbaan vo be-khudi denaa
na shor chaahiye dariyaa ki tund maujon kaa
mire lahu ko samundar ki khaamushi denaa
· · ·
Alqama Shibli
mujh ko auron se koi shikvaa nahin
main ne bhi to khud ko pahchaanaa nahin
sar pe aa pahunchaa hai suraj karb kaa
saath apne saaya bhi apnaa nahin
· · ·
Alqama Shibli
zakhm dil kaa khun-chakaan aisaa na thaa
ab se pahle jaan-sitaan aisaa na thaa
larza-bar-andaam hai qasr-e-yaqin
aadmi said-e-gumaan aisaa na thaa
· · ·
Alqama Shibli
kyuun malaamat kaa hadaf gardish-e-paimaana bane
laghzish-e-paa se miri kaaba-o-but-khaana bane
aql ke bas ki nahin bakhiyaa-giri phulon ki
dard jis ko ho gulistaan kaa vo divaana bane
· · ·
Alqama Shibli
dasht-dar-dasht phiraa kartaa huun pyaasaa huun main
aur duniyaa ye samajhti hai ki dariyaa huun main
tang sahraa nazar aayaa hai jo phailaa huun main
ho gai hai miri tasvir jo simTaa huun main
· · ·
Alqama Shibli
ye kyaa ki chehra naqaab-andar-naqaab rakkho
yahi hai kaafi bachaa ke aankhon ki aab rakkho
kahaa ye kis ne ki roz-o-shab kaa hisaab rakkho
ba-naam-e-jaan karb-e-mustaqil kaa azaab rakkho
· · ·
Alqama Shibli
chaak-dar-chaak hai phulon ki qabaa sunte hain
panja-kash aaj hai gulshan ki havaa sunte hain
tum ne chheDaa to nahin saaz-e-tabassum apnaa
tez hai dil ke dhaDakne ki sadaa sunte hain
· · ·
Alqama Shibli
kyon shahr-e-dil mein tifl-e-tamanna ko paa liye
apne har ek shauq ki pagDi uchhaaliye
tanhaa bahisht-e-shauq mein aadam hai aaj bhi
pasli se vaqt ki koi havvaa nikaaliye
· · ·
Alqama Shibli
man ke saagar mein koi tufaan uThaao
kaisaa sannaaTaa hai ik patthar to pheinko
aadmi hai reza-reza kyon na puchho
infiaal-e-aagahi bhi kaash dekho
· · ·
Alqama Shibli
vo masaaf-e-zist mein har moD par tanhaa rahaa
phir bhi honTon par na us ke koi bhi shikva rahaa
jo sadaa tishna-labon ke vaaste dariyaa rahaa
umr bhar vo khud ba-naam-e-dostaan pyaasaa rahaa
· · ·
Alqama Shibli
shama ki tarah pighalte rahiye
apni hi aag mein jalte rahiye
aaj insaan kaa muqaddar hai yahi
har nae saanche mein Dhalte rahiye
· · ·
Alqama Shibli
gumraah ho gayaa rah-e-hamvaar dekh kar
chalnaa thaa dil ko jaada-e-dushvaar dekh kar
jo sar jhukaa thaa sang-e-dar-e-yaar dekh kar
unchaa huaa hai phir rasan-o-daar dekh kar
· · ·
Alqama Shibli
nazar jo aataa hai baahar mein kab vo andar huun
main aadmi huun kahaan aadmi kaa paikar huun
rahaa jo bhiiD mein bhi mushfiqon ki sar-afraaz
khudaa-gavaah mein vaisaa hi ek masdar huun
· · ·
Alqama Shibli
zindagi se miri is tarah mulaaqaat hui
lab hile aankh mili aur na koi baat hui
dard ki dhuup nahin yaad kaa saaya bhi nahin
ab to qismat meri be-rangi-e-haalaat hui
· · ·
Alqama Shibli
dil ke dar par qufl paDaa hai tum bhi chup ho ham bhi chup
khaamoshi ab shart-e-vafaa hai tum bhi chup ho ham bhi chup
be-sauti ab saut-o-sadaa hai tum bhi chup ho ham bhi chup
lafzon kaa dam TuuT gayaa hai tum bhi chup ho ham bhi chup
· · ·
Alqama Shibli
dil ke darvaaze pe dastak ki sadaa koi nahin
kaun si manzil hai ye aavaaz-e-paa koi nahin
majlis-e-aalaam se kis tarah nikle zindagi
ye vo zindaan hai ki jis kaa raasta koi nahin
· · ·
Alqama Shibli
tere rukh-e-sabih ne rang-e-sahar dikhaa diyaa
zulmat-e-shab mein bhi mujhe jiine kaa hausla diyaa
sehr-e-nazar se aap ke husn-e-bayaan milaa diyaa
main ne urus-e-sher ko kitnaa hasin banaa diyaa
· · ·
Alqama Shibli
main koi gul huun ki sar apne chaDhaao logo
main to huun qarz mujhe sar se utaaro logo
kyaa kinaare pe khaDe soch rahe ho logo
man ke saagar mein bhi to ghota lagaao logo
· · ·
Alqama Shibli
kabhi paDho to mujhe harf-e-mo'tabar ki tarah
ye kyaa ki paDhte ho farsuda si khabar ki tarah
qalam to karte ho sar ko mire magar sun lo
main reg-zaar-e-vafaa mein huun ek shajar ki tarah
· · ·







