Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Atta Shad
gahri hai shab ki aanch ki zanjir-e-dar kaTe
taarikiyaan baDhe to sahar kaa safar kaTe
kitni shadid hai ye khunuk surkhiyon ki shaam
sulgaa hai vo sukut ki taar-e-nazar kaTe
· · ·
Atta Shad
yak lamha sahi 'umr kaa armaan hi rah jaae
is khalvat-e-yakh mein koi mehmaan hi rah jaae
qurbat mein shab-e-garm kaa mausam hai tiraa jism
ye khitta-e-jaan vaqf-e-zamistaan hi rah jaae
· · ·
Atta Shad
dilon ke dard jagaa khvaahishon ke khvaab sajaa
balaa-kashaan-e-nazar ke liye saraab sajaa
mahak rahaa hai kisi kaa badan sar-e-mahtaab
mire khayaal ki Tahni pe kyaa gulaab sajaa
· · ·
Atta Shad
zindagi aaina hai aaina-aaraai hai
ajnabi bhi hai vahi jis se shanaasaai hai
sang-dil saamne aataa hai to ye sochtaa huun
aarzu husn ki divaar se Takraai hai
· · ·
Atta Shad
paarsaaon ne baDe zarf kaa izhaar kiyaa
ham se pi aur hamein rusvaa sar-e-baazaar kiyaa
dard ki dhuup mein sahraa ki tarah saath rahe
shaam aai to lipaT kar hamein divaar kiyaa
· · ·
Atta Shad
baDaa kaThin hai raasta jo aa sako to saath do
ye zindagi kaa faasla miTaa sako to saath do
baDe fareb khaaoge baDe sitam uThaaoge
ye umr-bhar kaa saath hai nibhaa sako to saath do
· · ·
Atta Shad
chob-e-sahraa bhi vahaan rashk-e-samar kahlaae
ham khizaan-bakht shajar ho ke hajar kahlaae
ham tah-e-khaak kiye jaan kaa araq un ke liye
aur pas-e-raah-e-vafaa gard-e-safar kahlaae
· · ·
Atta Shad
ye dil bhi zakhm hai vo gul bhi ghaav rakhtaa hai
tamaam shahr talab kaa tanaav rakhtaa hai
shikasta shaakh ho tum baarishon ko do na sadaa
nasheb ab ke ghazab kaa bahaav rakhtaa hai
· · ·







