Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Azhar Naqvi
dil kuchh der machaltaa hai phir yaadon mein yuun kho jaataa hai
jaise koi ziddi bachcha rote rote so jaataa hai
sard havaa yaa TuuTaa taav puuri raat adhuraa chaand
mere aangan ki miTTi ko jaane kaun bhigo jaataa hai
· · ·
Azhar Naqvi
girdaab-e-reg-e-jaan se mauj-e-saraab tak
zinda hai to lahu mein bas ik iztiraab tak
ik main ki ek gham kaa taqaazaa na kar sakaa
ik vo ki us ne maang liye apne khvaab tak
· · ·
Azhar Naqvi
koi aisi baat hai jis ke Dar se baahar rahte hain
ham jo itni raat gae tak ghar se baahar rahte hain
patthar jaisi aankhon mein suraj ke khvaab lagaate hain
aur phir ham is khvaab ke har manzar se baahar rahte hain
· · ·
Azhar Naqvi
afsurdagi-e-dard-e-faraaqat hai sahar tak
ye shaam to ik shaam-e-qayaamat hai sahar tak
koi to andheron mein ujaalon kaa sabab ho
maanaa ki charaaghon ki haqiqat hai sahar tak
· · ·
Azhar Naqvi
kinaaron se judaa hotaa nahin tughyaaniyon kaa dukh
nai maujon mein rahtaa hai puraane paaniyon kaa dukh
kahin muddat hui us ko ganvaayaa thaa magar ab tak
miri aankhon mein hai un be-sar-o-saamaaniyon kaa dukh
· · ·
Azhar Naqvi
utar kar paaniyon mein chaand mahv-e-raqs rahtaa hai
miri aankhon mein kuchh is taur koi shakhs rahtaa hai
'ajab hairat hai aksar dekhtaa hai mere chehre ko
ye kis naa-aashnaa kaa aaine mein 'aks rahtaa hai
· · ·
Azhar Naqvi
chaak-e-daamaan-e-qabaa daagh-e-junun-saaz bahut
ham ne paae hain dar-e-yaar se eazaaz bahut
ham se puchho ki gham-e-furqat-e-yaaraan kyaa hai
ham ne dekhe hain shab-e-hijr ke andaaz bahut
· · ·
Azhar Naqvi
ek ik saans mein sadiyon kaa safar kaaTte hain
khauf ke shahr mein rahte hain so Dar kaaTte hain
pahle bhar lete hain kuchh rang tumhaare us mein
aur phir ham usi tasvir kaa sar kaaTte hain
· · ·
Azhar Naqvi
nahin hai par koi imkaan ho bhi saktaa hai
vo ek shab miraa mehmaan ho bhi saktaa hai
ajab nahin ki bichhaDne kaa faisla kar le
agar ye dil hai to naadaan ho bhi saktaa hai
· · ·
Azhar Naqvi
shahr gum-sum raaste sunsaan ghar khaamosh hain
kyaa balaa utri hai kyuun divaar-o-dar khaamosh hain
vo khulein to ham se raaz-e-dasht-e-vahshat kuchh khule
lauT kar kuchh log aae hain magar khaamosh hain
· · ·
Azhar Naqvi
rah gayaa dida-e-pur-aab kaa saamaan ho kar
vo jo rahtaa thaa mire saath miri jaan ho kar
jaane kis shokh ke aanchal ne sharaarat ki hai
chaand phirtaa hai sitaaron mein pareshaan ho kar
· · ·
Azhar Naqvi
dar-pesh nahin naql-e-makaani kai din se
aai na tabiat mein ravaani kai din se
phir ret ke dariyaa pe koi pyaasaa musaafir
likhtaa hai vahi ek kahaani kai din se
· · ·
Azhar Naqvi
girya-e-shab ki shahaadat ke liye jaagte hain
ye sitaare koi saaat ke liye jaagte hain
khauf aisaa hai ki ham band makaanon mein bhi
sone vaalon ki hifaazat ke liye jaagte hain
· · ·







