Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Dilshad Ahmad
aisaa manzar koi qismat ne dikhaayaa hotaa
mere shaanon pe tiri zulf kaa saaya hotaa
yuun charaaghon ko jalaa kar na bujhaayaa hotaa
vaa'da jab kar hi liyaa thaa to nibhaayaa hotaa
· · ·
Dilshad Ahmad
dimaagh 'ishq mein naa hi paDe to behtar hai
ye kaam dil kaa hai dil hi kare to behtar hai
raheinge yuun to sabhi apne vaqt tak zinda
zamir saath mein zinda rahe to behtar hai
· · ·
Dilshad Ahmad
zulf ke saae mein ho yaa saaya-e-shamshir mein
farq aataa hi nahin hai 'ishq ki taasir mein
meri aankhon se agar tujh ko musavvir dekhtaa
aur bhi zyaada kashish hoti tiri tasvir mein
· · ·
Dilshad Ahmad
kabhi pesh-e-khudaa rakh di kabhi pesh-e-butaan rakh di
munaafiq ne jabin apni jahaan chaahi vahaan rakh di
zabaan-e-talkh bhi minnat samaajat par hai aamaada
badal kar vaqt ne maghrur ki tarz-e-bayaan rakh di
· · ·
Dilshad Ahmad
shab-e-furqat mein ham jab bhi khutut-e-yaar paDhte hain
maraasim sabr se dil ke usi lamha bigaDte hain
na ham ko chheD ai saavan nahin to ye bhi mumkin hai
vo baadal bhi baras uTThein jo siine mein umaDte hain
· · ·
Dilshad Ahmad
ta'alluq jab kabhi parvaan chaDh kar TuuT jaataa hai
koi kaanTaa saa chubh ke dil ke andar TuuT jaataa hai
ta'ajjub kyaa jo dil meraa musalsal gham na sah paae
sharaaron mein to patthar bhi chaTak kar TuuT jaataa hai
· · ·
Dilshad Ahmad
aadmi bedaar honaa chaahiye
saahib-e-kirdaar honaa chaahiye
aasmaan aa jaaegaa zer-e-qadam
hausla-bardaar honaa chaahiye
· · ·







