Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Farooq Banspari
dil-e-izaa-talab le teraa kahnaa kar liyaa main ne
kisi ke hijr mein jiinaa gavaaraa kar liyaa main ne
but-e-paimaan-shikan se intiqaaman hi sahi lekin
sitam hai vaada-e-tark-e-tamannaa kar liyaa main ne
· · ·
Farooq Banspari
khushi se phulein na ahl-e-sahraa abhi kahaan se bahaar aai
abhi to pahunchaa hai aablon tak miraa mazaaq-e-barhana-paai
tire mufakkir samajh na paae mizaaj-e-tahzib-e-mustafaai
usul-e-johd-e-baqaa ke bande buland hai zauq-e-khud-fanaai
· · ·
Farooq Banspari
tumhaare qasr-e-aazaadi ke me'maaron ne kyaa paayaa
jahaan-baazon ki ban aai jahaan-kaaron ne kyaa paayaa
sitaaron se shab-e-gham kaa to daaman jagmagaa uTThaa
magar aansu bahaa kar hijr ke maaron ne kyaa paayaa
· · ·
Farooq Banspari
jo rahaa yuun hi salaamat miraa jazb-e-vaalhaana
mujhe khud karegaa sajda tiraa sang-e-aastaana
rah-e-haq ke haadson kaa na sunaa mujhe fasaana
tiri rahbari ghalat thi ki bahak gayaa zamaana
· · ·
Farooq Banspari
kohsaar kaa khugar hai na paaband-e-gulistaan
aazaad hai har qaid-e-maqaami se musalmaan
ghar kunj-e-qafas ko bhi banaa leti hai bulbul
shaahin ki nigaahon mein nasheman bhi hai zindaan
· · ·
Farooq Banspari
kabhi be-niyaaz-e-makhzan kabhi dushman-e-kinaaraa
kahin tujh ko le na Duube tiri zindagi kaa dhaaraa
miri quvvat-e-nazar kaa kai rukh se imtihaan hai
kabhi uzr-e-lan-taraani kabhi daavat-e-nazaaraa
· · ·
Farooq Banspari
ba-roz-e-hashr mire saath dil-lagi hi to hai
ki jaise baat koi aap se chhupi hi to hai
na chheDo baada-kasho mai-kade mein vaaiz ko
bahak ke aa gayaa bechaara aadmi hi to hai
· · ·







