Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ibn
dil vahi ashk-baar rahtaa hai
gham se jo ham-kanaar rahtaa hai
main ne dekhaa khirad ke kaandhon par
ik junun saa savaar rahtaa hai
· · ·
Ibn
vo khvaab jaisaa thaa goyaa saraab lagtaa thaa
hasin aisaa ki fakhr-e-gulaab lagtaa thaa
halim aisaa ki divaani ek duniyaa thi
ki us se haath milaanaa savaab lagtaa thaa
· · ·
Ibn
phir se vo lauT kar nahin aayaa
phir duaa mein asar nahin aayaa
chain aaegaa kaise aaj ki shab
taare nikle, qamar nahin aayaa
· · ·
Ibn
ham se milte the sitaare aap ke
phir bhi kho baiThe sahaare aap ke
kaisaa jaadu hai samajh aataa nahin
niind meri khvaab saare aap ke
· · ·
Ibn
ghalat-fahmi ki sarhad paar kar ke
miTaa do faasle isaar kar ke
ye kaarobaar bhi kab raas aayaa
khasaare mein rahe ham pyaar kar ke
· · ·
Ibn
kar buraa to bhalaa nahin hotaa
kar bhalaa to buraa nahin hotaa
ik vahi laapata nahin hotaa
jis ko apnaa pataa nahin hotaa
· · ·
Ibn
barq ne jab bhi aankh kholi hai
aashiyaanon ne khaak roli hai
yaad kaa kyaa hai aa gai phir se
aankh kaa kyaa hai phir se ro li hai
· · ·
Ibn
nafratein na adaavatein baaqi hain
gar raheingi to ulfatein baaqi
rah hi jaate hain sab fasaane yahaan
hain jo baaqi mohabbatein baaqi
· · ·
Ibn
shauq jab bhi bandagi kaa rahnumaa hotaa nahin
zindagi se zindagi kaa haq adaa hotaa nahin
kyaa samajh aaeingi tum ko ishq ki baarikiyaan
dil tumhaaraa jab talak dard-aashnaa hotaa nahin
· · ·







