SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byImtiyaz Kavish(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

angaar-e-tajalli nahin shabnam bhi nahin hai

aankhon mein koi vaadi-e-nilam bhi nahin hai

main gulshan-e-ulfat ke muqaddar se bari huun

ab dil mein mire khvaahish-e-hamdam bhi nahin hai

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

apne andaaz-e-takhayyul mein utar jaate hain

ham jidhar jaate hain parvaane udhar jaate hain

ham jo ik lamhe ko karte hain tasavvur teraa

ham jo bigDe hue hote hain sanvar jaate hain

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

phulon se sukhan meraa sanvarne nahin paataa

saaghar hai tamanna kaa ki bharne nahin paataa

ik yaad hai aisi ki jo taDpaati hai dil ko

ik zakhm hai aisaa ki jo bharne nahin paataa

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

khaar ko phuul kahein zahr ko phal likhnaa hai

dil ki takhti pe tiraa naam ghazal likhnaa hai

pahle likhnaa hai tire pyaar ko sahbaa-e-junun

phir use dasht-e-ma’aani mein saral likhnaa hai

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

khvaab mein vasl ke ilhaam utaare jaate

lafz bhigi hui palkon pe sanvaare jaate

kaash ik baar bulaate vo hamein bhi aur ham

saath pahlu mein liye chaand sitaare jaate

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

khush to lagtaa hai magar dil se khafaa ho jaise

dard ab khud hi nazar aae davaa ho jaise

meraa ye naghma ho sahraa kaa sukut-e-markaz

teraa ik harf kisi gul ki navaa ho jaise

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

nigaar-e-ulfat pe khultaa paikar kahin nahin hai koi nahin hai

sabhi hain rahzan pe apnaa rahbar kahin nahin hai koi nahin hai

mujhe mohabbat hai tum se ye to bajaa hai lekin ai mere dilbar

miri mohabbat ke gul kaa mehvar kahin nahin hai koi nahin hai

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

dilkash hai masaafat kaa maza raah-e-thakan mein

ik khushbu-e-jannat hai miri khaak-e-vatan mein

yaa farhat-e-fan ki hai koi achchhi alaamat

yaa dard-e-tamannaa hai mire rang-e-sukhan mein

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

aankh apne hi taqaazon se hayaa karti hai

koi khushbu mujhe phulon se judaa karti hai

ek aandhi hai ki karti hai adaavat har din

ek mash'al hai ki duniyaa se vafaa karti hai

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

bimaar-e-mohabbat huun davaa kyon nahin dete

tum apni vafaaon kaa sila kyon nahin dete

main qatra-e-gauhar huun to dariyaaon mein Daalo

aatish huun agar main to bujhaa kyon nahin dete

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

khuun mein lipTi hui kuchh shaa'iri aankhon mein thi

maut saanson pe ruki thi zindagi aankhon mein thi

ibtidaaan naam teraa aa gayaa honTon talak

aur phir saari ki saari an-kahi aankhon mein thi

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

shaa'ir huun mohabbat kaa mujhe kyaa koi gham hai

tufaan hai agar dil mein to haathon mein qalam hai

palTe jo kabhi maazi ke auraaq to dekhaa

ik zud-faraamosh khaDaa misl-e-sanam hai

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

khvaab-e-ulfat bhi haqiqat kaa nishaan puchhtaa hai

ab miraa dost miri jaan ki amaan puchhtaa hai

dil hai be-mehr ki is aalam-e-tanhaai mein

duur nafrat se mohabbat ki zabaan puchhtaa hai

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

aaghosh-e-tamanna mein ik laala-e-qaatil thaa

khud se hi laDaai thi khud apne muqaabil thaa

kal khvaab mein jo dekhaa pahchaan nahin paayaa

vo dost thaa dushman thaa haq par thaa ki baatil thaa

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

haathon mein kamaan un ke ho dil meraa nishaan ho

mumkin hai mohabbat bhi mohabbat kaa gumaan ho

ik aag bhaDakti hi rahe dil mein hamesha

ik dhuup lage aisi ki tan meraa dhuaan ho

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

gul ban ke mire dil mein sanvar kyon nahin jaate

ab shaam hui jaati hai ghar kyon nahin jaate

tum vaa'da nibhaane ko bhi tayyaar nahin ho

Darte ho to vaa'don se mukar kyon nahin jaate

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

dil ko duniyaa-daari kaa aasraa nahin maa'lum

kis taraf ko jaanaa hai raasta nahin maa'lum

ham ne jaan-o-dil de kar 'aashiqi ke raste par

ibtidaa to kar di hai intihaa nahin maa'lum

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

dushman ki dushmani kaa safar kar rahaa huun main

ik umr aagahi kaa safar kar rahaa huun main

phulon ko chhoD kar huun main kaanTon pe aa gayaa

yuun dil ki bandagi kaa safar kar rahaa huun main

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

kashkol-e-gadaai thaa ki rahmat kaa subu thaa

dil dil hai hamaari to in aankhon mein lahu thaa

nam honaa to aankhon kaa bahar-haal thaa 'uqda

ashkon ke tarannum se kiyaa ham ne vuzu thaa

· · ·

GhazalImtiyaz Kavish

Imtiyaz Kavish

bazm be-rabt hai soz-e-aahang se giit ulfat ke gaane se kyaa faaeda

baagh sadiyon se be-nur hai dilrubaa teraa yuun gul khilaane se kyaa faaeda

ham bhi aae gae is jahaan mein magar koi ham ko na ham saa milaa hai kabhi

jis mein koi bhi dil rakhne vaalaa na ho us jahaan mein samaane se kyaa faaeda

· · ·