Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jameel Yusuf
dhyaan kaa raahi ruk ruk kar pichhe taktaa hai
biite lamhe yaad aate hain dil rotaa hai
band dariche saf-basta gum-sum divaarein
shahar ki viraani se mujh ko khauf aataa hai
· · ·
Jameel Yusuf
sadaa kaa loch sukhan kaa nikhaar le ke chale
tiri nazar se fusun-e-bahaar le ke chale
tire jamaal ki subh-e-javaan thi aankhon mein
jabin pe shaam-e-sitam kaa ghubaar le ke chale
· · ·
Jameel Yusuf
aadmi apni zaat mein tanhaa
aalam-e-shash-jihaat mein tanhaa
ai khudaa tu hi be-misaal nahin
main bhi huun kaaenaat mein tanhaa
· · ·
Jameel Yusuf
ye ajab raasta hai jis pe lagaayaa hai mujhe
mahv-e-hairat huun ki kyaa chiiz banaayaa hai mujhe
teri duuri bhi hai mushkil tiri qurbat bhi muhaal
kis qadar tu ne miri jaan sataayaa hai mujhe
· · ·
Jameel Yusuf
huaa chali to nasha chhaa gayaa fazaaon mein
khayaal Duub gayaa duur ki sadaaon mein
na haath aae mire dauDte hue lamhe
safar kaTaa hai miraa baadalon ki chhaanv mein
· · ·
Jameel Yusuf
bhiiD aisi hai ki mujh ko raasta miltaa nahin
gul koi khiltaa nahin shoala koi uThtaa nahin
ai mire shauq-e-talab tere junun ki khair ho
tu ne kyaa had-e-nigah kaa faasla dekhaa nahin
· · ·
Jameel Yusuf
ta'alluqaat ke zakhmon kaa huun sataayaa huaa
jo shaam aai miraa saaya bhi paraayaa huaa
miTegaa zehn se kab teri yaad kaa afsun
hazaar sadiyon se ye bojh hai uThaayaa huaa
· · ·
Jameel Yusuf
vaqt ki tah mein utar jaaungaa
main bhi lamha huun guzar jaaungaa
ab jo niklaa huun tire khvaab liye
taa-ba-imkaan-e-nazar jaaungaa
· · ·
Jameel Yusuf
kaun hai kis kaa giraftaar na samjhaa jaae
yahi behtar hai ye asraar na samjhaa jaae
main ne kab duniyaa mein aane ki tamannaa ki thi
mujh ko duniyaa kaa talabgaar na samjhaa jaae
· · ·
Jameel Yusuf
tamannaaon ki duniyaa mein qadam dharne nahin deti
jo karnaa chaahtaa huun zindagi karne nahin deti
koi surat nahin hai zindagi se bach nikalne ki
gham-o-aalaam ke maaron ko bhi marne nahin deti
· · ·
Jameel Yusuf
teri talab mein aise giraftaar ho gae
ham log khud bhi raunaq-e-baazaar ho gae
kyaa khvaab thaa ki kuchh nahin Thahraa nigaah mein
kyaa aks thaa ki naqsh-ba-divaar ho gae
· · ·
Jameel Yusuf
aankh be-qaabu hai duniyaa ki tarah
dil hai pahlu mein tamannaa ki tarah
koi aavaaz koi guunj nahin
vaqt chup-chaap hai sahraa ki tarah
· · ·
Jameel Yusuf
har samt rang-o-nur kaa dariyaa dikhaai de
har mauj-e-rang mein tiraa chehra dikhaai de
har aaine mein teraa saraapaa dikhaai de
koi to is jahaan mein apnaa dikhaai de
· · ·
Jameel Yusuf
go husn ki surat hain miri samt ravaan bhi
ik khvaab si lagti hain mujhe raushaniyaan bhi
kuchh apni kaho Dubte taaron ko na dekho
shaayad na mile phir ye nashaat-e-guzaraan bhi
· · ·
Jameel Yusuf
aaj bhi mujh ko yuun lagtaa hai
jaise aaj tujhe dekhaa hai
teri judaai yuun kaaTi hai
saal ik pal mein biit gayaa hai
· · ·
Jameel Yusuf
phir ruk nahin sakaa huun kisi bhi chaTaan se
aisaa giraa huun roz-e-azal aasmaan se
hai jabr mein bhi ek gumaan ikhtiyaar kaa
do chaar har qadam pe hon ik imtihaan se
· · ·
Jameel Yusuf
tiri aankhein tiraa husn-e-javaan tahrir karte hain
zamin ki pastiyon mein aasmaan tahrir karte hain
koi mausam khizaan se aashnaa us ko nahin kartaa
ham apne khuun se jo gulsitaan tahrir karte hain
· · ·
Jameel Yusuf
dil ab tak ye soch rahaa hai
ye milnaa bhi kyaa milnaa hai
jaise koi anjaan musaafir
raste mein hairaan khaDaa hai
· · ·
Jameel Yusuf
ab to apne jism kaa saaya bhi begaana huaa
main tiri mahfil mein aa kar aur bhi tanhaa huaa
vaqf-e-dard-e-jaan huaa mahv-e-gham-e-duniyaa huaa
dil ajab shai hai kabhi qatra kabhi dariyaa huaa
· · ·
Jameel Yusuf
ek-tarfa be-khudi mein gum huaa rahtaa huun main
be-mahaabaa faaslon ko naaptaa rahtaa huun main
mere khadd-o-khaal ko pahchaannaa aasaan nahin
raaste ki gard mein aksar aTaa rahtaa huun main
· · ·
Jameel Yusuf
khud apni zaat kaa naam-o-nishaan bhuul gae
rihaa hue to parinde uDaan bhuul gae
is inhimaak se kaar-e-zamin mein mahv hue
zamin pe chhaayaa huaa aasmaan bhuul gae
· · ·







