Quote
"kaho dair-o-haram yaa naam apnaa aastaan rakh do sar-e-taslim kham hai tum jahaan chaaho vahaan rakh do ghaTaa kar qaid-e-aazaadi baDhaa do gham asiri kaa qafas ko aashiyaan mein yaa qafas mein aashiyaan rakh do tasalli dene vaalo ham tahi-dastaan-e-qismat hain sar-e-daaman jo mumkin ho to dil ki dhajjiyaan rakh do zarurat jaan ki dil ko main be-parvaa-e-hasti huun jahaan dil hai vahin ab meri jaan-e-naa-tavaan rakh do khudaa kahlaao yaa kuchh aur sab kuchh mujh ko kahnaa hai idhar aao mire munh mein tumhin apni zabaan rakh do vafaa kaa raaz is majmea mein kholaa jaa nahin saktaa sivaa mahshar ke koi aur roz-e-imtihaan rakh do mohabbat aur tasalli us pe hosh-e-zindagi 'kaifi' nahin uThtaa agar kaandhe se ye baar-e-garaan rakh do"
K
Kaifi Chirayyakoti






