SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhalid Azmi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

alam mein shaad ho kar dekhte hain

zaraa aazaad ho kar dekhte hain

hasad hai un ko khush-haali se meri

chalo barbaad ho kar dekhte hain

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

jazba-e-'ishq-o-vafaa mein ik kami baaqi rahi

har khataa main kar chukaa bas khud-kushi baaqi rahi

bevafaa kaise kahun majbur kahnaa Thiik hai

ham gae do samt lekin dosti baaqi rahi

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

daghaa fareb sitam qatl-e-‘aam kyaa-kyaa hai

amir-e-shahr bataa teraa kaam kyaa-kyaa hai

adab tamiz mohabbat khulus ki baatein

tumhaari bazm mein aakhir haraam kyaa-kyaa hai

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

mazdur ke kisaan ke haalaat pe likhein

aao ghazal ko apni nai baat pe likhein

ab daastaan-e-shirin-o-farhaad chhoD kar

ashfaaq ke bhagat ke khayaalaat pe likhein

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

jab se meraa muqaddar khafaa ho gayaa

main vafaadaar se bevafaa ho gayaa

main ne un ko bhulaane ki khaai qasam

aur haq dosti kaa adaa ho gayaa

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

agar hai hausla aao chalo uDaan bhi lo

magar zaruri hai dushvaariyon ko jaan bhi lo

qadam-qadam pe nayaa pul-siraat miltaa hai

bahut kaThin hai mohabbat ki raah maan bhi lo

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

tum jo aa jaao to mahfil ko charaaghaan kar duun

varna ji chaahtaa hai zindagi viraan kar duun

mujh ko aataa hai hunar gutthiyaan suljhaane kaa

aa tiri zulf-e-girah-gir ko aasaan kar duun

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

puchh lo tum chaahe jis se ye meraa kirdaar hai

sab se jhuk ke miltaa huun aur saadgi se pyaar hai

kal talak to aap maalik the dukaan-e-‘ishq ke

ab sunaa hai aap kaa nafrat kaa kaarobaar hai

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

surkh raushni le kar aaftaab aaegaa

is zamin ke aangan mein inqalaab aaegaa

haq nahin milaa jin ko ab milegaa haq un ko

muflison ke daaman mein maahtaab aaegaa

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

jab se gham se miri 'aashiqi ho gai

mere marne ki zid multavi ho gai

mujh ko baDhne se rokaa zamaana ne jab

hausle mein mire pukhtagi ho gai

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

aap kyaa mil gae zindagi mil gai

jis se mahrum thaa vo khushi mil gai

zindagi mein andheraa andheraa saa thaa

aap ko dekh kar raushni mil gai

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

jin ko ilm-o-shuur hotaa hai

un se har aib duur hotaa hai

us ki bharpaai ho nahin paati

ishq mein jo qusur hotaa hai

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

rukh se naqaab apne haTaayaa na kijiye

badli mein ham ko chaand dikhaayaa na kijiye

muddat se muntazir hai karein aap se savaal

khaamosh rah ke ham ko sataayaa na kijiye

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

aap kyaa mil gae zindagi mil gai

jis se mahrum thaa vo khushi mil gai

zindagi mein andheraa andheraa saa thaa

aap ko dekh kar raushni mil gai

· · ·

GhazalKhalid Azmi

Khalid Azmi

zindagi pe ik ehsaan kar jaaiye

aap dil mein hamaare utar jaaiye

dil kaa dariyaa mohabbat se labrez hai

is mein ghota lagaa kar nikhar jaae

· · ·