Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Khalid Sajjad
kaam kaa ek yahi kaam kiyaa
ishq-dar-ishq subh-o-shaam kiyaa
dil javaaban dhaDak rahaa thaa miraa
tu ne aankhon se jab salaam kiyaa
· · ·
Khalid Sajjad
honTon ki hansi dard kaa darmaan to nahin hai
meri hi tarah tu bhi pareshaan to nahin hai
main tujh ko kabhi khud se alag kar nahin saktaa
tu zid hai miri tu koi armaan to nahin hai
· · ·
Khalid Sajjad
ishq jab se azaab ho gayaa hai
dil kaa khaana-kharaab ho gayaa hai
mujh ko fursat nahin hai paDhne ki
us kaa chehra kitaab ho gayaa hai
· · ·
Khalid Sajjad
lahu mein jitni jaulaani rahegi
safar mein utni aasaani rahegi
mohabbat se gale milte hain yaaro
kahaan nafrat pareshaani rahegi
· · ·
Khalid Sajjad
kaun ye aag liye roz yahaan aataa hai
saans letaa huun to andar se dhuaan aataa hai
ham ne to pyaas bujhaani hai faqat ashkon se
dasht-e-hijraan se kahaan aab-e-ravaan aataa hai
· · ·
Khalid Sajjad
khaak meri bikhar gai hai kyaa
aasmaan tak nazar gai hai kyaa
kis liye tum udaas phirte ho
dil se duniyaa utar gai hai kyaa
· · ·
Khalid Sajjad
apni ghazal ke taair-e-khun-naab ke liye
kuchh zakhm le ke aayaa huun ahbaab ke liye
phir yuun huaa ki daagh hi haathon mein rah gae
rasta banaa rahaa thaa main mahtaab ke liye
· · ·
Khalid Sajjad
razaakaaraan-e-ishq imdaad karnaa
hamein khud ko hai khud barbaad karnaa
khudaai par hukumat chaahte ho
to pahle ik khudaa ijaad karnaa
· · ·
Khalid Sajjad
zabt kaa aise imtihaan na le
ai miri jaan meri jaan na le
saans ruktaa hai tere rukne se
vaqfe baaton ke darmiyaan na le
· · ·
Khalid Sajjad
zaifi is liye mujh ko suhaani lagti hai
ise kamaane mein puuri javaani lagti hai
natija ye hai ki barson talaash-e-zaat ke baa'd
vahaan khaDaa huun jahaan ret paani lagti hai
· · ·
Khalid Sajjad
jinhein safar ke liye hausla nahin miltaa
hujum mein bhi unhein raasta nahin miltaa
buraa na maan agar dekhne lagaa huun tujhe
main kyaa karun ki mujhe aaina nahin miltaa
· · ·







