Quote
"puchh lete hain vo aksar ki hai haalat kaisi ham pe ho jaati hai un ki ye 'inaayat kaisi 'ahd-e-haazir mein to hai zikr bhi in kaa be-sud kaisaa aain-e-vafaa aur muravvat kaisi ghair ke gham mein bhi be-saakhta ro dete hain ham ko allaah ne bakhshi hai tabi'at kaisi 'ishq saadiq hai hamaaraa to hamein kyaa maa'lum shikva kyaa hotaa hai hoti hai shikaayat kaisi dast-e-qudrat kaa karishma ise samjhein varna khaar aur gul mein bhalaa baahami sohbat kaisi aap aae hain 'ayaadat ko to dam bhar Thahrein haal-e-dil puchhne mein aisi bhi 'ujlat kaisi ham to har haal mein raazi-ba-razaa hain 'gauhar' ham nahin jaante hoti hai 'ibaadat kaisi"







