Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mohammad Azhar Shams
shaakh-e-gulshan pe thaa jo Thikaana gayaa
us parinde kaa to aab-o-daana gayaa
aandhiyon ki hai zad par gharaunde yahaan
yaani hamdardiyon kaa zamaana gayaa
· · ·
Mohammad Azhar Shams
qaatil hai jo meraa vahi apnaa saa lage hai
duniyaa se judaa ho ke vo duniyaa saa lage hai
har shaam mire dil mein hai yaadon se charaaghaan
har shaam miri palkon pe melaa saa lage hai
· · ·
Mohammad Azhar Shams
kal aaj se behtar ho aao ye duaa maangein
mansur-o-muzaffar ho aao ye duaa maangein
duniyaa ki fasilon par hon amn ki raanaai
ne khuun na khanjar ho aao ye duaa maangein
· · ·
Mohammad Azhar Shams
tajalliyon se andheron ki jang jaari hai
ujaale surkh-ru hon ye du'aa hamaari hai
jahaan pe kal thaa gulistaan vo aaj maqtal hai
falak khamosh hai phir dekhein kis ki baari hai
· · ·
Mohammad Azhar Shams
main duur ho ke bhi us se judaa nahin hotaa
hamaare biich koi faasla nahin hotaa
baghair us ke ho ehsaas-e-zindagi kaa safar
ye sochtaa to huun par hausla nahin hotaa
· · ·
Mohammad Azhar Shams
duur baiThe hain kyuun paas to aaiye
vaqt ruktaa nahin yuun na sharmaaiye
zina-e-ishq bhi zinat-e-bait bhi
dil mein rakhiye qadam dil mein bas jaaiye
· · ·
Mohammad Azhar Shams
taraqqi kaa vo daavaa kar rahaa hai
magar har shakhs faaqa kar rahaa hai
vo dekhe hai makaanaat-e-bulandi
vo ujDe ghar se parda kar rahaa hai
· · ·
Mohammad Azhar Shams
khvaab us kaa to haqiqat se ziyaada hai bahut
meri uljhan bhi mohabbat se ziyaada hai bahut
us ki saanson se mahak uThte hain kitne hi gulaab
lams us kaa mujhe daulat se ziyaada hai bahut
· · ·







