Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mohammad Hasnain Parwez
udaas raat kaa manzar hamaari aankh mein thaa
par ek khvaab baraabar hamaari aankh mein thaa
Tapak rahe the musalsal hi aankh se aansu
ye kis ki yaad kaa kankar hamaari aankh mein thaa
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
bhiiD thi hadd-e-nazar tak kitnaa unchaa shor thaa
khaamushi bhi chaunk uThi thi achchhaa-khaasaa shor thaa
mujh ko aisaa lag rahaa thaa be-hisi ke daur mein
log saare mar gae the aur zinda shor thaa
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
bhaTakne vaale ko aakhir kahin pe girnaa thaa
tumhaare dar pe giraa huun yahin pe girnaa thaa
havaa ke dosh pe kab tak fazaa mein rahte ham
kamaan se nikle huon ko zamin pe girnaa thaa
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
phir raat ko mahtaab kaa gham chaaT rahaa hai
aur dil ko tire khvaab kaa gham chaaT rahaa hai
mahsus karo bol ke ab kaise bataae
machhli ko bahut aab kaa gham chaaT rahaa hai
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
mire nasib mein yuun bhi ghami ziyaada hai
kisi khayaal ki mujh mein kami ziyaada hai
ye sard-mehri tiri mujh ko maar Daalegi
ye barf pahle ki nisbat jami ziyaada hai
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
miraa yaqin mukammal gumaan se pahle thaa
miraa vujud kahin to yahaan se pahle thaa
vo ik maqaam jo jannat-misaal kahlaae
zamin ke baa'd magar aasmaan se pahle thaa
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
tumhaare dhyaan mein rahnaa bahut zaruri hai
isi makaan mein rahnaa bahut zaruri hai
main jaantaa huun mujhe dil mein kaun rakkhegaa
miraa gumaan mein rahnaa bahut zaruri hai
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
ye meri aankh kaa girya bataa rahaa hai mujhe
koi to hai jo abhi yaad aa rahaa hai mujhe
kisi ko kaise bataaun ki lamha-e-maujud
gae zamaanon ki baatein sunaa rahaa hai mujhe
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
vo hamein zarb lagaate hue mar jaate hain
aur ham jaan se jaate hue mar jaate hain
zinda rahne ke liye saath zaruri hai tiraa
tujh ko ye baat bataate hue mar jaate hain
· · ·
Mohammad Hasnain Parwez
khizaan ki rut mein shajar se kalaam karte hue
taDapne lagtaa huun aksar ye kaam karte hue
gale lagaanaa bhi jis ko main kam samajhtaa thaa
guzar gayaa huun ab us ko salaam karte hue
· · ·







