Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mohammad Javed Anwar
jab tabiat hi na haazir ho huzuri kyaa hai
zohd ho vajh-e-tafaakhur to zaruri kyaa hai
khalaq ke Dar se jo sajda bhi hai iqaan bhi hai
naam tuuri ho qusuri ho futuri kyaa hai
· · ·
Mohammad Javed Anwar
bhulo sabhi mujhe mire pyaaro nahin rahaa
ab main kisi ke kaam kaa yaaro nahin rahaa
jis ke sumon ki dhuul safaa kaa ghubaar thi
markab vo mere shaah-savaaro nahin rahaa
· · ·
Mohammad Javed Anwar
go aap ko hai ishq har ik mah-laqaa ke saath
aqd-e-mubin kijiye aql-e-rasaa ke saath
minnat ki aajizi bhi ki zaari bhi ki magar
apnaa to kaam niklaa thaa jaur-o-jafaa ke saath
· · ·
Mohammad Javed Anwar
bin jaane bin parkhe kyon us but par jaan nisaar karun
meraa kyaa hai main to jis se mil luun us se pyaar karun
lafz to mere dil se ho kar apnaa rang dikhaate hain
jo sochun lafzon mein Dhaalun aur use shahkaar karun
· · ·
Mohammad Javed Anwar
koi to lafz sujhe tujhe jo ayaan kare
koi to kaifiyat mujhe puuraa bayaan kare
koi to tere husn ke laaiq ho aaina
koi to jaanch kar tujhe sadr-e-jahaan kare
· · ·
Mohammad Javed Anwar
ab mulaaqaat ek kaam hui
ye mohabbat bhi yuun tamaam hui
ham ne go khuub baandh li tamhid
aakhirash bas usi kaa naam hui
· · ·
Mohammad Javed Anwar
gulon par kis ki rangat chhaa gai hai
jo khushbu sab chaman mahkaa gai hai
ye kyaa mashur karne vaali dhun hai
sabaa kis ke ye naghme gaa gai hai
· · ·
Mohammad Javed Anwar
hamein junun diyaa aur tu hosh-mand huaa
isi qarin se yaaram tu sar-buland huaa
hamaaraa naghma samaaat pe kyon garaan guzraa
ki teraa zahr-e-halaahal hamein to qand huaa
· · ·
Mohammad Javed Anwar
na davaa de mujhe duaa de de
koi mauhum aasraa de de
aur kyaa maangtaa hai khaaliq se
kyaa koi dusraa khudaa de de
· · ·
Mohammad Javed Anwar
ai chaand nazar aa ki miri eid nazar ho
ai subh-e-munin aa ki shab-e-gham ki sahar ho
ye kyon ki har ik kaar-e-numaayaan ki mujhe daad
ye kyaa ki miri bhuul kisi aur ke sar ho
· · ·
Mohammad Javed Anwar
kaun hai jo dard baanTe raat ke is pahr mein
hai koi jo jaagtaa ho is samay bhi shahr mein
bai'at-e-saani pe maail hai miraa ranjur dil
gar mayassar dusraa koi khudaa ho dahr mein
· · ·
Mohammad Javed Anwar
bahut hi khaas kahnaa hai hamein ik aam ke baare
kareinge subh baatein ek biiti shaam ke baare
fusun hai ye nazar ki had hai saaraa jhuuT niklaa hai
jo tum kahte rahe the charkh-e-nili-faam ke baare
· · ·
Mohammad Javed Anwar
tere jaane kaa koi gham to nahin
khub-ru is jahaan mein kam to nahin
ik tire vaaste sabhi chhoDein
aur hogaa vo koi ham to nahin
· · ·







