Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mohammad Nadeem Sadiq
jab suraj Dhalne lagtaa hai
yaad mujhe tu kyon aataa hai
tu ne pahne hain dastaane
mere dil kaa khuun huaa hai
· · ·
Mohammad Nadeem Sadiq
vo bhi mujh ko soch rahaa hai
meraa dil khush-fahm baDaa hai
miir qunuti shaa'ir thaa gar
kaun rajaai ho saktaa hai
· · ·
Mohammad Nadeem Sadiq
ab to sab kuchh nayaa nayaa hai
tu bhi kitnaa badal gayaa hai
ghuncha ghuncha zakhm banaa hai
ye kaisaa mausam aayaa hai
· · ·
Mohammad Nadeem Sadiq
tu to bilkul patthar saa hai
par mujh ko achchhaa lagtaa hai
tere shahr mein kyaa rakkhaa hai
dil mujh ko phir le aayaa hai
· · ·
Mohammad Nadeem Sadiq
dard mile to ranj hi kyaa hai
dard bhi dil ki ek davaa hai
jis ne mujh ko dard diyaa hai
us ne to ehsaan kiyaa hai
· · ·
Mohammad Nadeem Sadiq
saaghar mein ik phuul khilaa hai
saaraa jangal mahak uThaa hai
Tahni Tahni suukh chali hai
pattaa pattaa khushk huaa hai
· · ·
Mohammad Nadeem Sadiq
tu kyon us ko soch rahaa hai
vo to tujh ko bhuul chukaa hai
dil mein kaisaa khauf bharaa hai
phuul khile to Dar lagtaa hai
· · ·







