Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya
jab tiraa tir-e-nazar yaad aaya
khaana-barbaad vahaan ab kyaa hai
kaun si baat pe ghar yaad aaya
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
hai koi mai-kash na baada hai na paimaane kaa naam
muft mein badnaam kar rakkhaa hai maikhaane kaa naam
dusraa kyaa aur hotaa aise viraane kaa naam
dasht-e-vahshat hai munaasib mere kaashaane kaa naam
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
nizaam-e-har-do-aalam intizaam-e-vusat-e-dil hai
ye jo kuchh hai vahi sab kuchh hai sab kuchh is mein shaamil hai
mujhe aataa hai har mushkil ko aasaani banaa lenaa
mujhe mushkil nahin mushkil baDi mushkil ye mushkil hai
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
naa vo masarrat gunaah mein hai na vo kashish ab savaab mein hai
kharaab-e-saamaan-e-zindagi sab jahaan ki bazm-e-kharaab mein hai
hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi haan kuchh hisaab mein hai
magar yahaan tu hi tu hai yaktaa savaal tere javaab mein hai
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
matlab na subh se na gharaz koi shaam se
apni to zindagi hai faqat daur-e-jaam se
vaaqif hai kaun ghuncha-o-gul ke maqaam se
sehn-e-chaman mein phaile hue hain jo daam se
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
rasm-o-niyaaz-e-naaz se ek maqaam par gayaa
husn se jo na ho sakaa ishq vo kaam kar gayaa
dair gayaa haram gayaa aur kidhar kidhar gayaa
main bhi talaash-e-yaar mein had se pare guzar gayaa
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
bazm-e-nashaat-o-aish kaa saamaan liye hue
aai sabaa bahaar-e-gulistaan liye hue
uDtaa phiraa junun ye saamaan liye hue
yaani hamaare jeb-o-garebaan liye hue
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
masarrat kaa hamesha ek hi aalam nahin hotaa
karam hotaa to hai un kaa magar paiham nahin hotaa
khushi kaa gham jinhein hotaa hai samjho gham-nasib un ko
jinhein gham ki khushi hoti hai un ko gham nahin hotaa
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
kaar-e-junun ki chaaraagar kuchh tujhe aagahi nahin
daaman-e-taar-taar mein kaar-e-rafu-gari nahin
naaz-o-niyaaz mein kahaan aalam-e-sarmadi nahin
husn bhi aarzi nahin ishq bhi aarzi nahin
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
kab zamaana saazgaar-e-khaatir-e-naa-saaz thaa
kis kaa dam bharte hamaaraa dam hi jab dam-baaz thaa
kyaa bataaun bazm kaa un ki ajab andaaz thaa
aashnaa-e-raaz bhi naa-aashnaa-e-raaz thaa
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
jo vahshat ki yahi hai kaar-farmaai to kyaa hogaa
khizaan aae to kyaa hogaa bahaar aai to kyaa hogaa
mire taar-e-garebaan se sadaa aai to kyaa hogaa
hui jaama-dari se un ki rusvaai to kyaa hogaa
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
hai koi mutrib na koi saaz hai
bas miraa naghma miri aavaaz hai
aadmi kaa kab koi hamraaz hai
meraa apnaa to yahi andaaz hai
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
nigaar-khaana-e-bazm-e-jahaan ki baat karo
sharaab-o-sabza-o-aab-e-ravaan ki baat karo
qafas ke daur mein khatm aashiyaan ki baat karo
yahin guzarti hai ab to yahaan ki baat karo
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
vajud-e-be-haqiqat par na itnaa shaadmaan hotaa
jo asraar-e-haqiqat kaa bhi insaan raaz-daan hotaa
mujhe teri khushi thi kyon gham-e-sud-o-ziyaan hotaa
tire hote jo ye hotaa to jiinaa raaegaan hotaa
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
kis barte par armaanon ki basti phailaai jaati hai
phaili hui duniyaa kyaa jaanein kis din mangvaai jaati hai
jo khun-e-jigar mein aataa hai bah jaataa hai vo aankhon se
ham roz kamaae jaate hain aur roz kamaai jaati hai
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
ik haqiqat ki jhalak yuun to har andaaz mein hai
phir haqiqat jise kahte hain abhi raaz mein hai
saaz-baaz ahl-e-nazar jalva-gah-e-naaz mein hai
ik ishaara hai jo chashm-e-ghalat-andaaz mein hai
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
udaasi kyaa bataaun apne ghar ki
fazaa khaamosh hai ab baam-o-dar ki
talaash aur vo bhi husn-e-rahguzar ki
kahaan takmil ho zauq-e-nazar ki
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
miri zindagi kaa ye haal thaa yahi shakl-e-raah-ravi rahi
ki na gham kaa gham hi rahaa kabhi na khushi ki mujh ko khushi rahi
na vo parda-daar hai raaz mein na kisi ki parda-daari rahi
jo paDe the parde sab uTh gae magar ab bhi jalvagari rahi
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
un se zahe-nasib mulaaqaat ho gai
bole bhi kuchh nahin to baDi baat ho gai
aashiq fareb-e-vaada-e-fardaa mein aa gayaa
jaise tumhaari baat koi baat ho gai
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
ham se na puchhiye ki kidhar dekhte rahe
thi dekhne ki chiiz jidhar dekhte rahe
ahl-e-havas ko diid mayassar nahin hui
jalve ko un ke ahl-e-nazar dekhte rahe
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
nazr-e-tauba ham kareinge mai-parasti ek din
DhunDhti rah jaaegi ye bazm-e-masti ek din
gham na kar khushiyaan na aaeingi to gham aa jaaeinge
bas hi jaaegi kisi se dil ki basti ek din
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
kahaan sadme nahin hote kahaan maatam nahin hotaa
koi aisaa bhi hai duniyaa mein jis ko gham nahin hotaa
masarrat kaa hamesha ek hi aalam nahin hotaa
karam hotaa to hai un kaa magar paiham nahin hotaa
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
duniyaa vahi hai aur vahi saamaan-e-zindagi
lekin badalte rahte hain unvaan-e-zindagi
kyaa kaam kar rahaa hai ye mehmaan-e-zindagi
bhartaa hai kyuun gunaah se daamaan-zindagi
· · ·
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
kisi ki yaad ko apnaa shiaar kar leinge
fazaa-e-dahr ko ham saazgaar kar leinge
ham apne gham ko khushi mein shumaar kar leinge
khizaan ke daur mein jashn-e-bahaar kar leinge
· · ·







