Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nashtar Qaimganjvi
dil se ik dusre ke pyaare hain
un ke ham aur vo hamaare hain
apnaa daaman jo vo pasaare hain
mere aansu bhi chaand taare hain
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
jalve kaa un ke ye hai asar kuchh khabar nahin
main kaun huun kahaan huun kidhar kuchh khabar nahin
siine mein har taraf nazar aataa hai dard hi
dil hai kahaan kahaan hai jigar kuchh khabar nahin
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
dil-o-jigar kaa faraaham jo kuchh lahu karte
to phir namaaz-e-mohabbat kaa ham vuzu karte
maze ajal ke bayaan un ke ru-ba-ru karte
masih-o-khizr bhi marne ki aarzu karte
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
mataaa-e-aish jo paai to muflisi na rahi
tum aa gae to kisi chiiz ki kami na rahi
vo lau lagi ki na aankhein rahin na dil baaqi
bujhi bujhi na rahi aur lagi lagi na rahi
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
ye miri shaam-e-judaai kis balaa ki shaam hai
saikDon laakhon balaaein ik dil-e-naakaam hai
dast-e-saaqi mein jhalaktaa saaghar-e-gulfaam hai
jaane qismat kaa sikandar kaun tishna-kaam hai
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
gham ko apne khushi banaataa huun
ashk pi pi ke muskuraataa huun
jis taraf main nazar uThaataa huun
us taraf tum hi tum ko paataa huun
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
raahat-e-jaan thaa vahi ab dushman-e-jaan ho gayaa
zarf-e-marham apni qismat se namak-daan ho gayaa
zindagi par bas nahin hai maut par qaabu nahin
bas inhin majburiyon kaa naam insaan ho gayaa
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
ab to be-qaabu hue jaate hain dard-e-dil se ham
kaise guzreinge qaraar-e-zabt ki manzil se ham
dushmanon se dosti kaa kaam ham ne le liyaa
aaj maujon ke sahaare mil gae saahil se ham
· · ·
Nashtar Qaimganjvi
junun-e-shauq mein kuchh aisaa kho gayaa huun main
ki vo nazar mein hain aur un ko DhunDhtaa huun main
kafan se is liye ab munh ko Dhaanptaa huun main
gunaahgaar huun duniyaa se jaa rahaa huun main
· · ·







