Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Qayyum Nazar
teri nigah se tujh ko khabar hai ki kyaa huaa
dil zindagi se baar-e-digar aashnaa huaa
ik ik qadam pe us ke huaa sajda-rez main
guzraa thaa jis jahaan ko kabhi raundtaa huaa
· · ·
Qayyum Nazar
kyon vahm saa rahtaa hai is hone na hone kaa
hote na to kyaa hote aur hote to kyaa hote
kal aayaa nazar juz mein taqsir ye thi kis ki
hotaa na khudaa banda bande na khudaa hote
· · ·
Qayyum Nazar
un ko dekh ke dil saa murakh jab saanche mein Dhal jaataa hai
meri bisaat to kyaa hai ik 'aalam par jaadu chal jaataa hai
apnaa fasaana yaa rudaad-e-zamaana kahte kab banti hai
aankhon mein aansu aate hain khuun kaa rang badal jaataa hai
· · ·
Qayyum Nazar
fareb-e-husn ki ghaatein hasin hain
mohabbat mein bhi kyaa baatein hasin hain
jamaayaa rang aisaa aansuon ne
samajhtaa huun ki barsaatein hasin hain
· · ·
Qayyum Nazar
ab chhoD tasavvur mein marnaa maidaan mein nikal aa jiine ko
tufaan ke siine par khenaa hai tujh ko apne safine ko
girton kaa sanbhalnaa khuub sahi lekin ye sanbhalne ko girnaa
hairat hai ki chaahaa kyon tu ne jiine ke aise qarine ko
· · ·
Qayyum Nazar
anjuman mein un ki dil par ikhtiyaar aasaan nahin
mushkilon kaa meri kar lenaa shumaar aasaan nahin
har nafas hai ek sharh-e-dard-haa-e-aarzu
daastaan-e-zindagi kaa ikhtisaar aasaan nahin
· · ·
Qayyum Nazar
suraj ki kiran kaa shoabada hai
rang-e-rukh-e-zard uD gayaa hai
naqsh-e-kaf-e-paa ne gul khilaae
viraan kahaan ab ye raasta hai
· · ·
Qayyum Nazar
maathe par Tiikaa sandal kaa ab dil ke kaaran rahtaa hai
mandir mein masjid banti hai masjid mein brahman rahtaa hai
zarre mein suraj aur suraj mein zarre raushan rahtaa hai
ab man mein saajan rahte hain aur saajan mein man rahtaa hai
· · ·
Qayyum Nazar
aap kyuun chheDte hain dipak raag
shahr mein lag rahi hai khud hi aag
uTh rahaa hai harim-e-dil se dhuaan
luT rahaa hai suhaaganon kaa suhaag
· · ·
Qayyum Nazar
vo kahaan mujh pe jafaa kartaa thaa
jo muqaddar thaa milaa kartaa thaa
aaj sharmaataa hai suraj us se
vo jo taaron se hayaa kartaa thaa
· · ·
Qayyum Nazar
chanaarein vaadiyon mein mushtail hain
dareghaa sarv abhi tak paa-ba-gil hain
uThe hain laala-e-khunin-kafan phir
yahi shoale jahaan-e-mustaqil hain
· · ·
Qayyum Nazar
dhundlaa diyaa ziist kaa tasavvur
apni aankhon hi ki nami ne
haivaan-sifat huaa hai aakhir
dikhlaayaa kamaal aadmi ne
· · ·
Qayyum Nazar
in ki jab nukta-vari yaad aai
apni hi be-khabari yaad aai
yaad aai bhi to yuun ahd-e-vafaa
aah ki be-asari yaad aai
· · ·
Qayyum Nazar
zer-e-zamin jo mujh ko havas aasmaan ki hai
shaayad ye musht-e-khaak tire aastaan ki hai
kartaa huun jam' be-sar-o-saamaaniyaan kahin
bijli ko phir talaash mire aashiyaan ki hai
· · ·
Qayyum Nazar
chaman-bandi pe hai mahshar bapaa kyaa
khile hain gul uDi hai khaak kyaa kyaa
shahidaan-e-vafaa bhi ji uTheinge
koi jaadu jagaa ab puchhnaa kyaa
· · ·







