SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byRahi Masoom Raza(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

jaisi miTTi hogi vaisaa paudaa niklegaa

is imroz ko dekho jis se fardaa niklegaa

ye kis ne sochaa thaa milegaa daaman-e-qaatil saaf

khun-e-shahidaan rang kaa itnaa kachchaa niklegaa

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

agar us ki na meri ho rahi hai

to yaaro baat kis ki ho rahi hai

kahin suraj mile to us se kahnaa

hamaari raat lambi ho rahi hai

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

raatein pardes ki Dartaa thaa kaTeingi kaise

ye sitaare to vahi hain mire aangan vaale

suliyaan nasb rahin qaht-e-junun hai bhi to kyaa

kuchh na kuchh ab bhi nikal aaeinge gardan vaale

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

ek din ghar se nikal ai bambai

aa hamaare gaanv chal ai bambai

sard hain din sard hain lafzon ke haath

tu bhi mere saath jal ai bambai

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

mujh se ye mat puchho kyaa in aankhon ki bimaari hai

champe jaisi rangat vaali vo ik sundar naari hai

malmal ki saari hai tan par haathon mein pichkaari hai

ham ne sunaa hai us ki gali mein holi ki tayyaari hai

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

dosto jaan pe ban aai hai

ye baDe shahr ki tanhaai hai

sar hatheli par ugaa hi legaa

jis ne jiine ki qasam khaai hai

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

main kyaa paagal thaa jo divaana hotaa

agar meri taraf dekhaa na hotaa

jo baazaar-e-junun ThanDaa na hotaa

to phir ghaaTe kaa ye saudaa na hotaa

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

baahar aate Darte hain apne apne afsaane se

kal tak jo divaane the ab lagte hain divaane se

sab ke paas kai naaseh hain aur sabhi samjhaate hain

aksar log bigaD jaate hain bahuton ke samjhaane se

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

keh do ye us se agle mahine holi hai

ham ne bhi rangon ki dukaan ik kholi hai

barson baa'd is hijr ke peD pe mor aae

barson baa'd is peD pe koyal boli hai

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

itni si baat kaa itnaa baDaa afsaana banaa

koi divaana huaa hai koi divaana banaa

vo ziyaarat-gah-e-majnun bahut aabaad hui

apni vahshat ke liye ab koi viraana banaa

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

ye mehrbaan thaa to vo naa-mehrbaan likhun

mauqa' mile to tazkira-e-dostaan likhun

ab mere saamne koi divaar bhi nahin

likhnaa to chaahtaa huun bataao kahaan likhun

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

yahi payaam hai is shahr-e-rang-o-bu ke liye

yahaan udaas rahaa apne maah-ru ke liye

gayaa na koi mire baa'd ku-e-qaatil tak

taras gayaa kaf-e-qaatil rag-e-gulu ke liye

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

manzil gum raahon ke nishaan maa'lum nahin

aaj kaa din guzregaa kahaan maa'lum nahin

un logon se yuun bhi kyaa keh saktaa huun

jin logon ko dil ki zabaan maa'lum nahin

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

ahl-e-vahshat mein hai dushvaar numaayaan honaa

kaam aaegaa magar chaak-garebaan honaa

jurm-e-iqraar-e-vafaa kar ke hami lauT aae

ham se dekhaa na gayaa us kaa pashemaan honaa

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

mauj-e-havaa ki zanjirein pahneinge dhuum machaaeinge

tanhaai ko giit mein Dhaaleinge giton ko gaaeinge

kandhe TuuT rahe hain sahraa ki ye vusat bhaari hai

ghar jaaein to apni nazar mein aur subuk ho jaaeinge

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

dil ke zakhm chhupaaoge kab tak kab tak baat banaaoge

'raahi' ji logon ne jo pochhaa kis kaa naam bataaoge

apne paaon ke chhaale dekho sahraa to sab dekh liye

chalte chalte thak gae hoge bolo kab ghar jaaoge

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

muzmahil haaraa huaa tanhaa milaa

jo milaa is shahr mein aisaa milaa

khinch gae hain is qadar ab faasle

apne paain-baagh mein sahraa milaa

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

zakhm-e-dil kaa ye shajar sab se judaa hotaa hai

dhuup lagti hai to ye aur haraa hotaa hai

ab siyaasat ki dukaanon kaa ye dastur huaa

vahi sikka nahin chaltaa jo kharaa hotaa hai

· · ·

GhazalRahi Masoom Raza

Rahi Masoom Raza

tum kahte ho raat ki shaakhon par suraj ke phuul aae

main kahtaa huun raag to hai ye raag magar darbaari hai

dhuup kaDi hai saaya mat de saae kaa imkaan to hai

ai sahraa tujh se to hamaari itni puraani yaari hai

· · ·