SHAWORDS

ek arz-e-muddaaa hone se pahle — Khursheed Akbar

"ek arz-e-muddaaa hone se pahle soch lenaa thaa khudaa hone se pahle khvaahishein kitni adhuri rah gai hain jism o jaan mein faasla hone se pahle aakhiri tahrir hai aab-e-ravaan par aakhiri bosa qazaa hone se pahle is qadar miThaa na honaa chaahiye thaa un labon ko zaaiqa hone se pahle us ki aankhon ke piyaale naachte hain kho gae kitne nasha hone se pahle kaun jaane Dubnaa hai yaa ubharnaa paaniyon mein raasta hone se pahle khud-kushi kar li chamakte chaand ne bhi aakhir-e-shab aainaa hone se pahle shahr se shaadaan guzar jaanaa hai behtar mushtail aab-o-havaa hone se pahle vo makin-e-dil huaa khurshid-'akbar' ghar kaa darvaaza khulaa hone se pahle"
Khursheed Akbar
Khursheed Akbar
Khursheed Akbar
poet69 quotes

More by Khursheed Akbar

View all →
Quote
"kisi bhi shahr kaa mausam suhaanaa chhoD dete hain garaan ho jaaein to ham aab-o-daana chhoD dete hain faqat ik bhuul ne maan baap ko alqat kiyaa ghar mein ki beTe jab siyaane huun kamaanaa chhoD dete hain miyaan biivi ke rishte e'timaadon ki amaanat hain magar ik aankh donon ghaaebaana chhoD dete hain unhein maalum hain majbur jebon ke taqaaze sab vo in mein khubsurat saa bahaana chhoD dete hain hamaari faaqa-masti aasmaan ke peT bharti hai ham apne paanv ke niche khazaana chhoD dete hain"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"asbaab kahaan jaan-e-jahaan dekhte rahnaa khaali koi dam hai ye makaan dekhte rahnaa taa-umr tire shahr mein rahnaa bhi nahin hai milti hai kahaan jaa-e-amaan dekhte rahnaa palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat rakhtaa huun main khanjar pe zabaan dekhte rahnaa aansu mire bachchon ki tarah khuun se khelein kuchh khel nahin ghar kaa ziyaan dekhte rahnaa ik arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf phir qissa-e-aalam hai dhuaan dekhte rahnaa bauchhaar hai tiron ki vo rahvaar akelaa kitnaa hai shitaabi ye samaan dekhte rahnaa duniyaa kisi maqtal mein hai zindon ki gavaahi jaate hain kahaan piir o javaan dekhte rahnaa hogi kisi manjdhaar ke siine pe miri naav dariyaa hai mire saath ravaan dekhte rahnaa taarik ufuq par vo ajab shaan se niklaa 'khurshid' se raushan hai jahaan dekhte rahnaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"ek manzar iztiraabi ek manzar se ziyaada dil hai saahil dil safina dil samundar se ziyaada do jahaan ki neamaton ko do badan se zarb de kar ek lamha maangtaa huun banda-parvar se ziyaada ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochtaa huun phuul mein hoti nazaakat kaash patthar se ziyaada hasrat-e-shahr-e-nasibaan kyaa tujhe maalum bhi hai dasht hai aabaad yaani ishq ke ghar se ziyaada chashm-o-lab se pahle ik tishna taalluq chaahtaa huun aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada ek larzida fazaa hai aasmaan ki vusaton mein ik parinda uD rahaa hai apne shah-par se ziyaada bastiyon ke log saare barf hote jaa rahe hain be-rukhi achchhi nahin 'khurshid-akbar' se ziyaada"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"guzar gai hai mujhe reg-zaar karti hui vo ek machhli samundar shikaar karti hui na jaane kitne bhanvar ko rulaa ke aae hai ye meri kashti-e-jaan khud ko paar karti hui vo ek saaat-e-maasum dil ki parvarda mukar gai hai magar e'tibaar karti hui junun ki aakhiri larzida muzmahil si raat jhapak gai hai zaraa intizaar karti hui ye kaisi khvaahish-e-naa-did hai doraahe par sahm gai hai abhi mujh pe vaar karti hui lipaT ke so gai aakhir sham-e-firaaq ke saath shab-e-siyaah sitaare shumaar karti hui safar mein kaisi haraarat qarib thi 'khurshid' utar gai hai mujhe dhaar-daar karti hui"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar

More on Dil

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud