Shayari
ham faqiron kaa pairahan hai dhuup
aur ye raat apni chaadar hai
yazid-e-vaqt ne ab ke lagaai hai qadghan
ki bhuul kar bhi na gaae koi taraana-e-ishq
یزید وقت نے اب کے لگائی ہے قدغن
کہ بھول کر بھی نہ گائے کوئی ترانۂ عشق
यज़ीद-ए-वक़्त ने अब के लगाई है क़दग़न
कि भूल कर भी न गाए कोई तराना-ए-इश्क़

ham faqiron kaa pairahan hai dhuup
aur ye raat apni chaadar hai
main baarishon mein bahut bhigtaa rahaa 'aabid'
sulagti dhuup mein ik chhat bahut zaruri hai
ab qafas aur gulistaan mein koi farq nahin
ham ko khushbu ki talab hai ye sabaa jaanti hai
is e'tibaar pe kaaTi hai ham ne umr-e-aziz
sahar kaa vaqt ujaale bhi saath laaegaa
sab apne apne tariqe se bhiik maangte hain
koi ba-naam-e-mohabbat koi ba-jaama-e-ishq
sar par gire makaan kaa malba hi rakh liyaa
duniyaa ke qimti sar-o-saamaan se gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq to har shakhs kartaa hai 'shuur'
tum ne apnaa haal ye kyaa kar liyaa
kitni be-rang zindagi hai miri
'ishq ke rang yaar bhar do naa
saudaa kabhi zamir kaa main ne kiyaa nahin
sad-shukr main bhi 'ishq mein taajir huaa nahin
ahl-e-gham tum ko mubaarak ho fanaa-aamaadgi
lekin isaar-e-mohabbat jaan de denaa nahin