Shayari
tire honThon se sharmaa kar pasine mein huaa ye tar
khizar ne khud araq ponchhaa jabin-e-aab-e-haivaan kaa
A
Asad Ali Khan QalaqchheDaa agar mire dil-e-naalaan ko aap ne
phir bhuul jaaiyegaa bajaanaa sitaar kaa
چھیڑا اگر مرے دل نالاں کو آپ نے
پھر بھول جائیے گا بجانا ستار کا
छेड़ा अगर मिरे दिल-ए-नालाँ को आप ने
फिर भूल जाइएगा बजाना सितार का
tire honThon se sharmaa kar pasine mein huaa ye tar
khizar ne khud araq ponchhaa jabin-e-aab-e-haivaan kaa
agar na jaama-e-hasti miraa nikal jaataa
to aur thoDe dinon ye libaas chal jaataa
umr to apni hui sab but-parasti mein basar
naam ko duniyaa mein hain ab saahib-e-islaam ham
yaad dilvaaiye un ko jo kabhi vaada-e-vasl
to vo kis naaz se farmaate hain ham bhuul gae
kotaah umr ho gai aur ye na kam hui
ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizaar dekh
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae