Shayari
karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte vaqt ki har mauj Thahar jaaegi
koi yaadon se joD le ham ko
ham bhi ik TuTtaa saa rishta hain

karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte vaqt ki har mauj Thahar jaaegi
de nishaani koi aisi ki sadaa yaad rahe
zakhm ki baat hai kyaa zakhm to bhar jaaeinge
ye ehtimaam-e-charaaghaan bajaa sahi lekin
sahar to ho nahin sakti diye jalaane se
pyaar ke bandhan khuun ke rishte TuuT gae khvaabon ki tarah
jaagti aankhein dekh rahi thiin kyaa kyaa kaarobaar hue
kahte kahte kuchh badal detaa hai kyuun baaton kaa rukh
kyuun khud apne-aap ke bhi saath vo sachchaa nahin
jaane kin rishton ne mujh ko baandh rakkhaa hai ki main
muddaton se aandhiyon ki zad mein huun bikhraa nahin
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ab tak miri yaadon se miTaae nahin miTtaa
bhigi hui ik shaam kaa manzar tiri aankhein
chand yaadein hain chand sapne hain
apne hisse mein aur kyaa hai ji
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi