Shayari
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
neamat-e-khuld thi bashar ke liye
khaak chaaTi nazar guzar ke liye

roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
yaani pale hue isi aab-o-havaa ke hain
jhuuT aur mubaalaghe ne afsos
izzat kho di sukhanvari ki
likkhi thi ghazal ye aagara mein
pahli taarikh january ki
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai