Shayari
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
ik aadmi se tark-e-maraasim ke baa'd ab
kyaa us gali se koi guzarnaa bhi chhoD de

vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
maaein darvaazon par hain
baarish hone vaali hai
mere hone se na honaa hai miraa
aag jalne se dhuaan aabaad hai
bojh se jhukne lagi shaakh to jaa kar ham ne
aashiyaane ko kisi aur shajar par rakkhaa
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
jo duur rah ke uDaataa rahaa mazaaq miraa
qarib aayaa to royaa gale lagaa ke mujhe
ai sanam tu vo kanhayyaa hai balaaein luun agar
baansuli ki tarah naalaan hon saraapaa ungliyaan