Shayari
gulzaar-e-mohabbat mein na phule na phale ham
maanind-e-chinaar aag mein apni hi jale ham
J
Joshish Azimabaditujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
تجھ سے ہم بزم ہوں نصیب کہاں
تو کہاں اور میں غریب کہاں
तुझ से हम-बज़्म हों नसीब कहाँ
तू कहाँ और मैं ग़रीब कहाँ
gulzaar-e-mohabbat mein na phule na phale ham
maanind-e-chinaar aag mein apni hi jale ham
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahin
hogaa ghazab jo paD gai us ki nazar kahin
dhyaan mein us ke fanaa ho kar koi munh dekh le
dil vo aaina nahin jo har koi munh dekh le
ahvaal dekh kar miri chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
us ke rukhsaar par kahaan hai zulf
shola-e-husn kaa dhuaan hai zulf
chashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai