Shayari
ye daur vo hai ki baiThe raho charaagh-tale
sabhi ko bazm mein dekho magar dikhaai na do
nuskha-e-marham-e-iksir bataane vaale
tu miraa zakhm to pahle mujhe vaapas kar de

ye daur vo hai ki baiThe raho charaagh-tale
sabhi ko bazm mein dekho magar dikhaai na do
aks ne mere rulaayaa hai mujhe
koi apnaa nazar aayaa hai mujhe
tamaam umr akele mein tujh se baatein kiin
tamaam umr tire ru-ba-ru khamosh rahe
do harf tasalli ke jis ne bhi kahe us ko
afsaana sunaa Daalaa tasvir dikhaa Daali
hain miri raah kaa patthar miri aankhon kaa hijaab
zakhm baahar ke jo andar nahin jaane dete
jo shakhs na royaa thaa tapti hui raahon mein
divaar ke saae mein baiThaa to bahut royaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ham be-khudaan-e-mahfil-e-tasvir ab gae
aainda ham se aap mein aayaa na jaaegaa
ruuh kis mast ki pyaasi gai mai-khaane se
mai uDi jaati hai saaqi tire paimaane se
is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa