Shayari
daavar-e-hashr miraa naama-e-aamaal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi naam aate hain
ye dalil-e-khush-dili hai mire vaaste nahin hai
vo dahan ki hai shagufta vo jabin ki hai kushaada
یہ دلیل خوش دلی ہے مرے واسطے نہیں ہے
وہ دہن کہ ہے شگفتہ وہ جبیں کہ ہے کشادہ
ये दलील-ए-ख़ुश-दिली है मिरे वास्ते नहीं है
वो दहन कि है शगुफ़्ता वो जबीं कि है कुशादा

daavar-e-hashr miraa naama-e-aamaal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi naam aate hain
jis tarah ham ne raatein kaaTi hain
us tarah ham ne din guzaare hain
meri vafaaein yaad karoge
rooge fariyaad karoge
hamein bhi dekh ki ham aarzu ke sahraa mein
khile hue hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarah
ye Dar hai qaafile vaalo kahin na gum kar de
miraa hi apnaa uThaayaa huaa ghubaar mujhe
rabt hai husn o ishq mein baaham
ek dariyaa ke do kinaare hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
ik Tiis jigar mein uThti hai ik dard saa dil mein hotaa hai
ham raat ko royaa karte hain jab saaraa aalam sotaa hai
abas hai raaz ko paane ki justuju kyaa hai
ye chaak-e-dil hai use haajat-e-rafu kyaa hai
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se