Shayari
is tarah sajaa rakkhe hain main ne dar-o-divaar
ghar mein tiri surat ke sivaa kuchh bhi nahin hai
dil sambhaale nahin sambhaltaa hai
jaise uTh kar abhi gayaa hai koi
دل سنبھالے نہیں سنبھلتا ہے
جیسے اٹھ کر ابھی گیا ہے کوئی
दिल सँभाले नहीं सँभलता है
जैसे उठ कर अभी गया है कोई

is tarah sajaa rakkhe hain main ne dar-o-divaar
ghar mein tiri surat ke sivaa kuchh bhi nahin hai
hote hote main pahunch jaataa huun apne aap tak
is se aage aur koi raasta jaataa nahin
istiaare zamin se jaaein
ik ghazal aasmaan se utre
kaar-e-zindagaani ke shor-o-shar mein muddat se
us ko bhuul jaane kaa ehtimaal rahtaa hai
haqiqat ko tamaashe se judaa karne ki khaatir
uThaa kar baarhaa parda giraanaa paD gayaa hai
bichhDaa vo mujh se aaise na bichhDe kabhi koi
ab yuun milaa hai jaise vo pahle milaa na ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
tu bhi jaise badal saa jaataa hai
aks-e-divaar ke badalte hi
kisi ko saal-e-nau ki kyaa mubaarakbaad di jaae
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte