Shayari
subh tak thaa vahin ye mukhlis bhi
aap rakhte the shab jahaan tashrif
Q
Qayem Chaandpurikhas namat saath mauj ke lag le
bahte bahte kahin to jaaiyegaa
خس نمط ساتھ موج کے لگ لے
بہتے بہتے کہیں تو جائیے گا
ख़स नमत साथ मौज के लग ले
बहते बहते कहीं तो जाइएगा
subh tak thaa vahin ye mukhlis bhi
aap rakhte the shab jahaan tashrif
sang ko aab karein pal mein hamaari baatein
lekin afsos yahi hai ki kahaan sunte ho
'qaaem' jo kahein hain faarsi yaar
is se to ye rekhta hai behtar
tark kar apnaa bhi ki is raah mein
har koi shaayaan-e-rifaaqat nahin
ronaa hai agar yahi to 'qaaem'
ik khalq ko ham Dubaa rahe hain
kar na jurat tu ai tabib ki ye
dil kaa dhaDkaa hai ikhtilaaj nahin