Shayari
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
vo jaag rahaa ho shaayad ab tak
ye soch ke main bhi jaagtaa huun
وہ جاگ رہا ہو شاید اب تک
یہ سوچ کے میں بھی جاگتا ہوں
वो जाग रहा हो शायद अब तक
ये सोच के मैं भी जागता हूँ

us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
shaam se pahle tiri shaam na hone dungaa
zindagi main tujhe naakaam na hone dungaa
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ye pahlaa ishq hai tumhaaraa soch lo
mire liye ye raastaa nayaa nahin
qatl karne kaa iraada hai magar sochtaa huun
tu agar aae to haathon mein jhijak paidaa ho
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae
faasle aise bhi honge ye kabhi sochaa na thaa
saamne baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa