Shayari
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
dulhan bani hui hain raahein
jashn manaao saal-e-nau ke
دلہن بنی ہوئی ہیں راہیں
جشن مناؤ سال نو کے
दुल्हन बनी हुई हैं राहें
जश्न मनाओ साल-ए-नौ के

hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
har-chand miri quvvat-e-guftaar hai mahbus
khaamosh magar tab-e-khud-aaraa nahin hoti
yunhi dil ne chaahaa thaa ronaa-rulaanaa
tiri yaad to ban gai ik bahaanaa
jamhuriyat-navaaz bashar-dost amn-khvaah
khud ko jo khud diye the vo alqaab kyaa hue
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa