Shayari
jaan hai to jahaan hai dil hai to aarzu bhi hai
ishq bhi ho rahegaa phir jaan abhi bachaaiye
main chaahtaa huun use aur chaahne ke sivaa
mire liye to koi aur raastaa bhi nahin
میں چاہتا ہوں اسے اور چاہنے کے سوا
مرے لیے تو کوئی اور راستا بھی نہیں
मैं चाहता हूँ उसे और चाहने के सिवा
मिरे लिए तो कोई और रास्ता भी नहीं

jaan hai to jahaan hai dil hai to aarzu bhi hai
ishq bhi ho rahegaa phir jaan abhi bachaaiye
har ik ufuq pe musalsal tulua hotaa huaa
main aaftaab ke maanind rahguzaar mein thaa
bahut dinon mein mire ghar ki khaamushi TuuTi
khud apne-aap se ik din kalaam main ne kiyaa
mujhe ye saare masihaa aziiz hain lekin
ye kah rahe hain ki main tum se faasla rakkhun
suraj ke ufuq hote hain manzil nahin hoti
so Dhaltaa rahaa jaltaa rahaa chaltaa rahaa main
itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
mohabbatein to huiin aur tum se pahle bhi
magar jo tum se hui yaad karte rahte hain
ye kyaa hai mohabbat mein to aisaa nahin hotaa
main tujh se judaa ho ke bhi tanhaa nahin hotaa
ye vasl ki khvaahish bhi miyaan bul-havasi hai
jis dil mein mohabbat ho tamanna nahin hoti