Shayari
uThe hain haath to apne karam ki laaj bachaa
vagarna meri duaa kyaa miri talab kyaa hai
hamaare naam likhi jaa chuki thi rusvaai
hamein to honaa thaa yuun bhi kharaab chaaron taraf
ہمارے نام لکھی جا چکی تھی رسوائی
ہمیں تو ہونا تھا یوں بھی خراب چاروں طرف
हमारे नाम लिखी जा चुकी थी रुस्वाई
हमें तो होना था यूँ भी ख़राब चारों तरफ़

uThe hain haath to apne karam ki laaj bachaa
vagarna meri duaa kyaa miri talab kyaa hai
khud pe kyaa biit gai itne dinon mein tujh bin
ye bhi himmat nahin ab jhaank ke andar dekhun
main vo TuuTaa huaa taaraa jise mahfil na raas aai
main vo shola jo shab bhar aankh ke paani mein rahtaa hai
main ne hansne ki aziyyat jhel li royaa nahin
ye saliqa bhi koi aasaan jiine kaa na thaa
ek bechain samundar hai mire jism mein qaid
TuuT jaae jo ye divaar to manzar dekhun
naakhudaa ho ki khudaa dekhte rah jaate hain
kashtiyaan Dubti hain us ke makin Dubte hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa