Shayari
dhokaa khaane pe ro paDaa hogaa
ye koi 'ishq mein nayaa hogaa
apni tasvir chuum li us ne
phuul par phuul khil gayaa jaise

dhokaa khaane pe ro paDaa hogaa
ye koi 'ishq mein nayaa hogaa
ek hi din milaa mohabbat ko
saal bhar ki thakan utaari gai
daftar-e-husn khole baiThe hain
'aashiqi rozgaar hai un kaa
kyaa huaa husn-e-jaavedaan ko tire
tu to mujh se bichhaD ke khush thi bahut
rumuz-e-vaqt ki pahli class mein bhi miraa
tamaam dhyaan thaa sarkaari naukri ki taraf
'umr guzri magar mohabbat mein
ek lamha bhi yaadgaar nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
jo duur rah ke uDaataa rahaa mazaaq miraa
qarib aayaa to royaa gale lagaa ke mujhe
ai sanam tu vo kanhayyaa hai balaaein luun agar
baansuli ki tarah naalaan hon saraapaa ungliyaan