Shayari
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
amn har shakhs ki zarurat hai
is liye amn se mohabbat hai

mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai